Shayari
dukh-bharaa shahr kaa manzar kabhi tabdil bhi ho
dard ko had se guzarte koi kab tak dekhe
phir ek baar laDaai thi apni suraj se
ham aainon ki tarah phir yahaan vahaan TuuTe
پھر ایک بار لڑائی تھی اپنی سورج سے
ہم آئینوں کی طرح پھر یہاں وہاں ٹوٹے
फिर एक बार लड़ाई थी अपनी सूरज से
हम आईनों की तरह फिर यहाँ वहाँ टूटे

dukh-bharaa shahr kaa manzar kabhi tabdil bhi ho
dard ko had se guzarte koi kab tak dekhe
main hi TuuT ke bikhraa aur na royaa vo
ab ke hijr ke mausam kitne jhuTe the
use be-numu kisi khvaab ne kahin gahri niind sulaa diyaa
use bhaa gai hain kahaavatein use bhi qafas mein sukun hai
anaa ki qaid se nikle muqaabla to kare
vo meraa saath nibhaane kaa hausla to kare
kaun hai jo har lamha suratein badaltaa hai
main kise samajhne ke marhalon mein zinda huun
ye jism TuuT ke hisson mein baTne vaalaa hai
phir is pe apni rivaayaat kuchh nahin hogaa