Shayari
ab ke milne ki shart ye hogi
donon ghaDiyaan utaar pheinkeinge
tere gaalon pe jab gulaal lagaa
ye jahaan mujh ko laal laal lagaa
تیرے گالوں پہ جب گلال لگا
یہ جہاں مجھ کو لال لال لگا
तेरे गालों पे जब गुलाल लगा
ये जहाँ मुझ को लाल लाल लगा

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
na tu jaldi kar ai dast-e-junun naaseh ko siine de
bahaar aa pahunchi ab koi Thaharte hain rafu is ke
aazurda kuchh hain shaayad varna huzur mujh se
kyuun munh phulaa rahaa hai vo gul-ezaar apnaa