Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shikast o fath miyaan ittifaaq hai lekin
muqaabla to dil-e-naa-tavaan ne khuub kiyaa
شکست و فتح میاں اتفاق ہے لیکن
مقابلہ تو دل ناتواں نے خوب کیا
शिकस्त ओ फ़त्ह मियाँ इत्तिफ़ाक़ है लेकिन
मुक़ाबला तो दिल-ए-ना-तवाँ ने ख़ूब किया
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq hai ahd-e-javaani ke liye
ahd-e-piri ke taqaaze aur hain
puchhaa jo main ne yaar se anjaam-e-soz-e-ishq
shokhi se ik charaagh ko us ne bujhaa diyaa
vo bhi hai ik maqaam-e-ishq jahaan
har tamannaa gunaah hoti hai