Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
puchhaa jo main ne yaar se anjaam-e-soz-e-ishq
shokhi se ik charaagh ko us ne bujhaa diyaa
پوچھا جو میں نے یار سے انجام سوز عشق
شوخی سے اک چراغ کو اس نے بجھا دیا
पूछा जो मैं ने यार से अंजाम-ए-सोज़-ए-इश्क़
शोख़ी से इक चराग़ को उस ने बुझा दिया

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
Thiik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayaam kiyaa