Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ajab nahin hai ki dil par jami mili kaai
bahut dinon se to ye hauz saaf bhi na huaa
عجب نہیں ہے کہ دل پر جمی ملی کائی
بہت دنوں سے تو یہ حوض صاف بھی نہ ہوا
ajab nahīñ hai ki dil par jamī milī kaa.ī
bahut dinoñ se to ye hauz saaf bhī na huā

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
suraj-dimaagh log bhi ablaagh-e-fikr mein
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gae
us ne jalti hui peshaani pe jab haath rakhaa
ruuh tak aa gai taasir masihaai ki
main us ki dastaras mein huun magar vo
mujhe meri razaa se maangtaa hai
kuchh faisla to ho ki kidhar jaanaa chaahiye
paani ko ab to sar se guzar jaanaa chaahiye
us ne mujhe dar-asl kabhi chaahaa hi nahin thaa
khud ko de kar ye bhi dhokaa, dekh liyaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa