Shayari
millat ki aabru ko milaataa hai khaak mein
leader hamaaraa kitnaa baDaa khaaksaar hai
nahin hai bahr mein be-vazn hai 'rahim' magar
hamaari shaairi sur mein hai aur taal mein hai
نہیں ہے بحر میں بے وزن ہے رحیمؔ مگر
ہماری شاعری سر میں ہے اور تال میں ہے
नहीं है बह्र में बे-वज़्न है 'रहीम' मगर
हमारी शाइ'री सुर में है और ताल में है

millat ki aabru ko milaataa hai khaak mein
leader hamaaraa kitnaa baDaa khaaksaar hai
milegi seat election mein aap ko ik din
agar ye chamcha-gari kaamyaab ho jaae
hai bajaT ghaaTe mein jurmaane zaruri hain yahaan
is liye sarkaar meri luuT kar khaane ko hai
qaail hain zaaiqe ke gharaz kyaa hai rang se
dastar pe dekhte hi nahin ham mutton kaa rang
hai himaaqat 'rahim' shaadi bhi
is se miTTi palid hoti hai
nurse ko dekh ke aa jaati hai munh pe raunaq
vo samajhte hain ki bimaar kaa haal achchhaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad