Shayari
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
kabhi to baiTh ke yaaron ke saath chaae pi
kabhi to baiTh ke fursat se din guzaaraa kar
کبھی تو بیٹھ کے یاروں کے ساتھ چائے پی
کبھی تو بیٹھ کے فرصت سے دن گزارا کر
कभी तो बैठ के यारों के साथ चाय पी
कभी तो बैठ के फ़ुर्सत से दिन गुज़ारा कर

bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram