Shayari
tu mujhe apnaa banaa yaa na banaa teri khushi
tu zamaane mein mire naam se badnaam to hai
S
Sabir Jalalabadiraaz ki baatein likhi aur khat khulaa rahne diyaa
jaane kyuun rusvaaiyon kaa silsila rahne diyaa
راز کی باتیں لکھی اور خط کھلا رہنے دیا
جانے کیوں رسوائیوں کا سلسلہ رہنے دیا
राज़ की बातें लिखी और ख़त खुला रहने दिया
जाने क्यूँ रुस्वाइयों का सिलसिला रहने दिया
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain