Shayari
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ye bastiyaan baDi gunjaan hain magar in mein
kisi gali mein nahin koi ghar tumhaare sivaa
یہ بستیاں بڑی گنجان ہیں مگر ان میں
کسی گلی میں نہیں کوئی گھر تمہارے سوا
ये बस्तियाँ बड़ी गुंजान हैं मगर इन में
किसी गली में नहीं कोई घर तुम्हारे सिवा

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
phuul ko chuum ke gulzaar banaa sakti hai
aisi ik baat hai honTon ki paziraai mein
sahj yaad aa gayaa vo laal holi-baaz juun dil mein
gulaali ho gayaa tan par mire khirqa jo ujlaa thaa
bagule us ke sar par chikhte the
magar vo aadmi chup zaat kaa thaa