Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
tu apne man kaa mankaa pher zaahid varna kyaa haasil
tujhe is makr ki tasbih se zunnaar behtar thaa
تو اپنے من کا منکا پھیر زاہد ورنہ کیا حاصل
تجھے اس مکر کی تسبیح سے زنار بہتر تھا
तू अपने मन का मनका फेर ज़ाहिद वर्ना क्या हासिल
तुझे इस मक्र की तस्बीह से ज़ुन्नार बेहतर था

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti