Shayari
har dil mein chhupaa hai tiir koi har paanv mein hai zanjir koi
puchhe koi in se gham ke maze jo pyaar ki baatein karte hain
dalil-e-taabish-e-imaan hai kufr kaa ehsaas
charaagh shaam se pahle jalaa nahin karte
دلیل تابش ایماں ہے کفر کا احساس
چراغ شام سے پہلے جلا نہیں کرتے
दलील-ए-ताबिश-ए-ईमाँ है कुफ़्र का एहसास
चराग़ शाम से पहले जला नहीं करते

har dil mein chhupaa hai tiir koi har paanv mein hai zanjir koi
puchhe koi in se gham ke maze jo pyaar ki baatein karte hain
'shakil' is darja maayusi shuru-e-ishq mein kaisi
abhi to aur honaa hai kharaab aahista aahista
be-taalluq tire aage se guzar jaataa hai
ye bhi ik husn-e-talab hai tire divaane kaa
ai mohabbat tire anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyuun aaj tire naam pe ronaa aayaa
ab to khushi kaa gham hai na gham ki khushi mujhe
be-his banaa chuki hai bahut zindagi mujhe
shaguftagi-e-dil-e-kaarvaan ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhi hui bahaar mein hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
ik shakl hamein phir bhaai hai ik surat dil mein samaai hai
ham aaj bahut sarshaar sahi par aglaa moD judaai hai
ik maasum parinda hai dil
un aankhon mein jaal hai saahab
jo dil baandhe vo jaadu jaantaa hai
miraa mahbub urdu jaantaa hai