Shayari
chaahte to the mire aghyaar tu paidaa na ho
phir bhi ye himmat hai teri tu agar paidaa huaa
mumkin nahin ghazab se bachein ham janaab ke
baalishtiyon ko bhi na agar sarv saa likhein
ممکن نہیں غضب سے بچیں ہم جناب کے
بالشتیوں کو بھی نہ اگر سرو سا لکھیں
मुमकिन नहीं ग़ज़ब से बचें हम जनाब के
बालिशतियों को भी न अगर सर्व सा लिखें

chaahte to the mire aghyaar tu paidaa na ho
phir bhi ye himmat hai teri tu agar paidaa huaa
bolin ki kaam karne ki khugar nahin huun main
biivi huun aap ki koi shauhar nahin huun main
pi gai thi ghol kar 'aazaad' ki aab-e-hayaat
tab kahin ghar mein mire tujh saa pisar paidaa huaa
saaqi kaa aur sharaab kaa ho zikr baar baar
zaahid ko bhuul kar na kabhi paarsaa likhein
khaanaa khulne kaa hi elaan agar farmaa dein
ham ye samjheinge ki taqrir-e-sadaarat bakhshi
facebōk hi aaj-kal chaupaal hai
chauk par milte kahaan hain chaar dost