Shayari
chaahte to the mire aghyaar tu paidaa na ho
phir bhi ye himmat hai teri tu agar paidaa huaa
saaqi kaa aur sharaab kaa ho zikr baar baar
zaahid ko bhuul kar na kabhi paarsaa likhein
ساقی کا اور شراب کا ہو ذکر بار بار
زاہد کو بھول کر نہ کبھی پارسا لکھیں
साक़ी का और शराब का हो ज़िक्र बार बार
ज़ाहिद को भूल कर न कभी पारसा लिखें

chaahte to the mire aghyaar tu paidaa na ho
phir bhi ye himmat hai teri tu agar paidaa huaa
bolin ki kaam karne ki khugar nahin huun main
biivi huun aap ki koi shauhar nahin huun main
pi gai thi ghol kar 'aazaad' ki aab-e-hayaat
tab kahin ghar mein mire tujh saa pisar paidaa huaa
khaanaa khulne kaa hi elaan agar farmaa dein
ham ye samjheinge ki taqrir-e-sadaarat bakhshi
mumkin nahin ghazab se bachein ham janaab ke
baalishtiyon ko bhi na agar sarv saa likhein
facebōk hi aaj-kal chaupaal hai
chauk par milte kahaan hain chaar dost
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
zakhm kahte hain dil kaa gahna hai
dard dil kaa libaas hotaa hai
sarson jo phuli dida-e-jaam-e-sharaab mein
bint-ul-anab se karne lagaa shokhiyaan basant
kis ko khabar hain kitne bahakte hue qadam
makhmur ankhDiyon kaa sahaaraa liye hue