Shayari
vahshat to sang-o-khisht ki tartib le gai
ab fikr ye hai dasht ki vusat bhi le na jaae
gali ke moD se ghar tak andheraa kyuun hai 'nizaam'
charaagh yaad kaa us ne bujhaa diyaa hogaa
گلی کے موڑ سے گھر تک اندھیرا کیوں ہے نظامؔ
چراغ یاد کا اس نے بجھا دیا ہوگا
गली के मोड़ से घर तक अँधेरा क्यूँ है 'निज़ाम'
चराग़ याद का उस ने बुझा दिया होगा

vahshat to sang-o-khisht ki tartib le gai
ab fikr ye hai dasht ki vusat bhi le na jaae
nikle kabhi na ghar se magar is ke baavajud
apni tamaam umr safar mein guzar gai
darvaaza koi ghar se nikalne ke liye de
be-khauf koi raasta chalne ke liye de
chubhan ye piiTh mein kaisi hai muD ke dekh to le
kahin koi tujhe pichhe se dekhtaa hogaa
tu akelaa hai band hai kamraa
ab to chehraa utaar kar rakh de
udaasi akele mein Dar jaaegi
ghaDi-do-ghaDi ko khushi bhej de
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
bhuul gai vo shakl bhi aakhir
kab tak yaad koi rahtaa hai
kabhi ziyaada kabhi kam udaas rahtaa huun
tumhaari yaad mein har dam udaas rahtaa huun
ruuh arbaab-e-mohabbat ki laraz jaati hai
tu pashemaan na ho apni jafaa yaad na kar
koi chuTki si kaleje mein liye jaataa hai
ham tiri yaad se ghaafil nahin hone paate
ai sadaf sun tujhe phir yaad dilaa detaa huun
main ne ik chiiz tujhe di thi guhar karne ko