Shayari
sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaaiz
dekh maathe pe abhi chaand numaayaan hogaa
daam-bar-dosh phirein chaahe vo gesu bar-dosh
said ban ban ke hamin ne unhein sayyaad kiyaa
دام بر دوش پھریں چاہے وہ گیسو بر دوش
صید بن بن کے ہمیں نے انہیں صیاد کیا
दाम-बर-दोश फिरें चाहे वो गेसू बर-दोश
सैद बन बन के हमीं ने उन्हें सय्याद किया

sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaaiz
dekh maathe pe abhi chaand numaayaan hogaa
na mohtasib ki khushaamad na mai-kade kaa tavaaf
khudi mein mast huun apni bahaar mein gum huun
qafas bhi bigDi hui shakl hai nasheman ki
ye ghar jo phir se sanvar jaae aashiyaan ho jaae
har ashk-e-surkh hai daamaan-e-shab mein aag kaa phuul
baghair shama ke bhi jal rahe hain parvaane
abhi rakkhaa rahne do taaq par yunhi aaftaab kaa aaina
ki abhi to meri nigaah mein vahi meraa maah-e-tamaam hai
Takraaun kyuun zamaane se kyaa faaeda 'siraaj'
khud apne raaste se haTaa jaa rahaa huun main
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
ek parchhaain tasavvur ki mire saath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa