Shayari
is pal do pal ki hasti mein
kyaa teraa hai kyaa meraa hai
S
Syed Anwar Ahmadkuchh maarke hamaare bhi ham tak hi rah gae
gumnaam ik sipaahi ki khidmaat ki tarah
کچھ معرکے ہمارے بھی ہم تک ہی رہ گئے
گمنام اک سپاہی کی خدمات کی طرح
कुछ मारके हमारे भी हम तक ही रह गए
गुमनाम इक सिपाही की ख़िदमात की तरह
is pal do pal ki hasti mein
kyaa teraa hai kyaa meraa hai
in se aavaaz-e-karb aati hai
zard patton pe mat chale koi
vo mujh se puchhne lagaa mere savaal ab
aur main bhi de rahaa huun jo is ke javaab the
faqih-e-shahr se kuchh khaas dushmani to nahin
faqih-e-shahr se lekin Thani si rahti hai
apne liye bhi koi riaayat ravaa nahin
is munsifi ki khu ne to saffaak kar diyaa
boli lagi mata-e-hunar ki to ahl-e-fan
jaldi mein apne khvaab bhi nilaam kar gae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe