Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ek do zakhm nahin jism hai saaraa chhalni
dard be-chaara pareshaan hai kahaan se nikle
ایک دو زخم نہیں جسم ہے سارا چھلنی
درد بے چارہ پریشاں ہے کہاں سے نکلے
एक दो ज़ख़्म नहीं जिस्म है सारा छलनी
दर्द बे-चारा परेशाँ है कहाँ से निकले

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tujhe kis baat kaa gham hai vo itnaa puchh lein mujh se
vo itnaa puchh lein mujh se to phir kis baat kaa gham hai
bahut royaa huun main jab se ye main ne khvaab dekhaa hai
ki aap aansu bahaate saamne dushman ke baiThe hain
bahut se gham to diye 'zabt' aise logon ne
ki jin se koi tavaqqo na thi vafaa ke sivaa