Shayari
naadaan meraa dil bahak jaae na kahin
shaanon pe gesuon ko bikheraa na kijiye
zabaan khaamosh magar nazron mein ujaalaa dekhaa
us kaa izhaar-e-mohabbat bhi niraalaa dekhaa
زباں خاموش مگر نظروں میں اجالا دیکھا
اس کا اظہار محبت بھی نرالا دیکھا
ज़बाँ ख़ामोश मगर नज़रों में उजाला देखा
उस का इज़हार-ए-मोहब्बत भी निराला देखा

naadaan meraa dil bahak jaae na kahin
shaanon pe gesuon ko bikheraa na kijiye
is qadar TuuT kar meri nazron mein na dekho varna
tumhaari nazron ko meri nazron ki nazar na lag jaae
maza to ishq kaa tab hai ki ek pal ko sahi
jhuki nazar vo uThaa dein aur main salaam karun
zaraa sambhalun bhi to vo aankhon se pilaa detaa hai
meraa mahbub mujhe hosh mein rahne nahin detaa
aaj ki raat mujhe hosh mein rahne do abhi
aaj ki raat koi aankhon se pilaaegaa mujhe
yuun achaanak na zulfein bikheraa karo
dil to naadaan hai bahak bhi saktaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yaa husn hai naa-vaaqif-e-pindaar-e-mohabbat
yaa ishq hi aasaani-e-atvaar mein gum hai
tu dard bhi duaa bhi tu zakhm bhi davaa bhi
shikve bhi hain tujhi se aur pyaar bhi tujhi se
yaani ki tu qadim jazira hai ishq kaa
aur is mein huun hunut-shuda shaahzaadi main
aql se sirf zehan raushan thaa
ishq ne dil mein raushni ki hai