Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
ahbaab puchhte hain baDi saadgi ke saath
tu ab ke saal iid manaaegaa kis tarah
احباب پوچھتے ہیں بڑی سادگی کے ساتھ
تو اب کے سال عید منائے گا کس طرح
अहबाब पूछते हैं बड़ी सादगी के साथ
तू अब के साल ईद मनाएगा किस तरह

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
yaarab hazaar saal salaamat rahein huzur
ho roz jashn-e-id yahaan jaavedaan basant
main ajab ye rasm dekhi mujhe roz-e-id-e-qurbaan
vahi zabh bhi kare aur vahi le savaab ulTaa
iid hai qatl miraa ahl-e-tamaashaa ke liye
sab gale milne lage jab ki vo jallaad aayaa
mere surkh lahu se chamki kitne haathon mein mehndi
shahr mein jis din qatl huaa main iid manaai logon ne
mai pi ke iid kijiye guzraa mah-e-siyaam
tasbih rakhiye saaghar-o-minaa uThaaiye
haasil us mah-laqaa ki diid nahin
eid hai aur ham ko eid nahin