Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
in rozon lutf-e-husn hai aao to baat hai
do din ki chaandni hai phir andhiyaari raat hai
ان روزوں لطف حسن ہے آؤ تو بات ہے
دو دن کی چاندنی ہے پھر اندھیاری رات ہے
इन रोज़ों लुत्फ़-ए-हुस्न है आओ तो बात है
दो दिन की चाँदनी है फिर अँधियारी रात है

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vo ghazal ki kitaab hai pyaare
us ko paDhnaa savaab hai pyaare
tiri shokh aankhon mein baarhaa kai khvaab dekhe hain pyaar ke
tiraa pyaar meraa nasib hai kisi aur ko ye vafaa na de
har manzar ke andar bhi ik manzar hai
dekhne vaalaa bhi to ho tayyaar mujhe
main puchh letaa huun yaaron se rat-jagon kaa sabab
magar vo mujh se mire khvaab puchh lete hain
bahut chhoTe hain mujh se mere dushman
jo meraa dost hai mujh se baDaa hai