Shayari
namaaz o roza o haj o zakaat kuchh na sahi
shab-baraat paTaakha to chhoD saktaa huun

Dilawar Figar
Dilawar Figar
namaaz o roza o haj o zakaat kuchh na sahi
shab-baraat paTaakha to chhoD saktaa huun
nahin karte hain be-rishvat liye kaam
yahi hai majnuon kaa aaj dastur
juute ke intikhaab ko masjid mein jab gae
vo jutiyaan paDin ki khudaa yaad aa gayaa
aa ke bazm-e-sher mein shart-e-vafaa puuri to kar
jitnaa khaanaa khaa gayaa hai utni mazduri to kar
vahaan jo log anaaDi hain vaqt kaaTte hain
yahaan bhi kuchh mutashaaer dimaagh chaaTte hain
siyaah zulf ko jo ban-sanvar ke dekhte hain
safed baal kahaan apne sar ke dekhte hain
kal chaudhvin ki raat thi aabaad thaa kamraa tiraa
hoti rahi dhin-taak-dhin bajtaa rahaa tabla tiraa
kahin goli likhaa hai aur kahin maar
ye golimaar likkhaa jaa rahaa hai
hamaaraa dost tufaili bhi hai baDaa shaaer
agarche ek baDe aadmi kaa chamcha hai
murdamaan bisyaar honge aur jaa-e-qabr tang
qabr ki taqsim par murdon mein chhiD jaaegi jang
ghazal churaa ke kabhi khidmat-e-adab kar li
pakaD gae to vahin maazarat talab kar li
jaan dene ko pahunche the sabhi teri gali mein
bhaage to kisi ne bhi palaT kar nahin dekhaa