Shayari
jhaDti hain un ke munh se jo manzum gaaliyaan
sun sun ke vaah vaah kiye jaa rahaa huun main

Haji Laq Laq
Haji Laq Laq
jhaDti hain un ke munh se jo manzum gaaliyaan
sun sun ke vaah vaah kiye jaa rahaa huun main
saamne aghyaar ke be-parda aur mujh se hijaab
gulgulon se hai use parhez aur guD khaae hai
naam ke saath ek do alfaaz ki dum chaahiye
sher phikaa hi sahi lekin tarannum chaahiye
ban ke leader so rahe to zindagi kis kaam ki
amn qaaem ho gayaa to leaderi kis kaam ki
ab bhi vo kah rahe hain ki mere buzurg ho
kuchh bhi huaa na shave karaane se faaeda
shaairon mein ab kahaan achchhe bure kaa imtiyaaz
loud-speaker ne sab kaa bol-baalaa kar diyaa
main bhi ai jaan koi harijan thaa
bazm se kyuun uThaa diyaa tu ne
tiraa mariz huun main doctor kaa ghar na bataa
ye dard-e-ishq hai zaalim koi bukhaar nahin
naqsh-e-paa-e-yaar ko chumun to chumun kis tarah
ho buraa patlun kaa mujh se na baiThaa jaae hai
tu vo gul hai ki jis mein bu hi nahin
tu to gobhi kaa phuul hai pyaare
kise daastaan-e-masaarif sunaaun
main is DheDh aane mein kyaa kyaa banaaun