Shayari
koi dast-e-masihaai karam-andaaz hone tak
namak-paashi kaa zakhmon ko maza bhi lag chukaa hogaa

Jamal Abbas Fahmi
Jamal Abbas Fahmi
koi dast-e-masihaai karam-andaaz hone tak
namak-paashi kaa zakhmon ko maza bhi lag chukaa hogaa
tujh se milne kaa bahaana to koi chaahiye thaa
ham ne vo ek bahaana kabhi DhunDaa hi nahin
koi to aisaa ho jis se main dil ki baat karun
so apne aap se hi baat kartaa rahtaa huun
Thukraa ke chale aae khuddaar tabiat hai
ham un ki inaayat ko khairaat samajhte hain
nahin ye mehndi nahin hai tumhaare haathon par
kisi kaa khun-e-tamannaa lagaae baiThe ho
tazkire hain to faqat qatl ke andaaz ke hain
shahr mein qatl kaa mere koi charchaa hi nahin
meri khud-faraamoshi ab yahaan tak aa pahunchi
puchhtaa huun logon se tum ne mujh ko dekhaa hai
tum apnaa dariyaa yahaan se sameT lo varna
hamaari pyaas ki garmi use jalaa degi
sar ko neza nasib hotaa hai
sarfaraazi yunhi nahin milti
dosti ik din dushman se ho sakti hai
soch ke ye laDne kaa iraada chhoD diyaa
jab khatm hui dil se isaar ki gunjaaish
aangan mein nikal aai divaar ki gunjaaish