Shayari
sar ko neza nasib hotaa hai
sarfaraazi yunhi nahin milti
koi dast-e-masihaai karam-andaaz hone tak
namak-paashi kaa zakhmon ko maza bhi lag chukaa hogaa
کوئی دست مسیحائی کرم انداز ہونے تک
نمک پاشی کا زخموں کو مزہ بھی لگ چکا ہوگا
कोई दस्त-ए-मसीहाई करम-अंदाज़ होने तक
नमक-पाशी का ज़ख़्मों को मज़ा भी लग चुका होगा

sar ko neza nasib hotaa hai
sarfaraazi yunhi nahin milti
dosti ik din dushman se ho sakti hai
soch ke ye laDne kaa iraada chhoD diyaa
jab khatm hui dil se isaar ki gunjaaish
aangan mein nikal aai divaar ki gunjaaish
tujh se milne kaa bahaana to koi chaahiye thaa
ham ne vo ek bahaana kabhi DhunDaa hi nahin
koi to aisaa ho jis se main dil ki baat karun
so apne aap se hi baat kartaa rahtaa huun
Thukraa ke chale aae khuddaar tabiat hai
ham un ki inaayat ko khairaat samajhte hain
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
har TuuTe hue dil ki Dhaaras hai tiraa vaada
juDte hain isi mai se darke hue paimaane
naale hain dilsitaan to phir aahein hain barchhiyaan to phir
ham to khamosh baiThe the aap ne kyuun sataa diyaa
himmat kaa zaahidon ki saraasar qusur thaa
mai-khaana khaanqaah se aisaa na duur thaa
ek aisi bhi tajalli aaj mai-khaane mein hai
lutf piine mein nahin hai balki kho jaane mein hai