Quote
"ham se puchhe koi chaahat kaa sazaa ho jaanaa narm guftaar kaa patthar kaa khudaa ho jaanaa jab main unvaan-e-mohabbat pe koi nazm likhun tum mahakte hue lafzon ki qabaa ho jaanaa naam khvaabon ki salibon pe na likhiye meraa meri fitrat hai haqiqat pe fidaa ho jaanaa main ne puujaa thaa tumhein dard-e-mohabbat ke sabab tum se ye kis ne kahaa thaa ki khudaa ho jaanaa dasht-e-tufaan mein agar meraa safina dekho tum miri maan ki tarah mahv-e-duaa ho jaanaa ab takalluf se koi kaam na lenaa 'aamir' jab vo tum se hon khafaa tum bhi khafaa ho jaanaa"
Javed Rasheed Amir