SHAWORDS

main bhi kitnaa saada huun — Javed Rasheed Amir

"main bhi kitnaa saada huun tujh ko apnaa kahtaa huun khushbu jaisaa mahkaa huun shaayad teraa lahja huun armaanon kaa dariyaa huun main sadiyon se pyaasaa huun tu gulshan taabiron kaa main khvaabon kaa sahraa huun mujh ko sadiyaan mat likhnaa main to guzraa lamha huun main aalam tahriron kaa sab ke chehre paDhtaa huun mujh ko kaise pujoge main kab gungaa bahraa huun"
Urdu

میں بھی کتنا سادہ ہوں تجھ کو اپنا کہتا ہوں خوشبو جیسا مہکا ہوں شاید تیرا لہجہ ہوں ارمانوں کا دریا ہوں میں صدیوں سے پیاسا ہوں تو گلشن تعبیروں کا میں خوابوں کا صحرا ہوں مجھ کو صدیاں مت لکھنا میں تو گزرا لمحہ ہوں میں عالم تحریروں کا سب کے چہرے پڑھتا ہوں مجھ کو کیسے پوجوگے میں کب گونگا بہرا ہوں

Hindi

मैं भी कितना सादा हूँ तुझ को अपना कहता हूँ ख़ुशबू जैसा महका हूँ शायद तेरा लहजा हूँ अरमानों का दरिया हूँ मैं सदियों से प्यासा हूँ तू गुलशन ताबीरों का मैं ख़्वाबों का सहरा हूँ मुझ को सदियाँ मत लिखना मैं तो गुज़रा लम्हा हूँ मैं आलम तहरीरों का सब के चेहरे पढ़ता हूँ मुझ को कैसे पूजोगे मैं कब गूँगा बहरा हूँ

maiñ bhī kitnā saada huuñ
Javed Rasheed Amir
Javed Rasheed Amir
Javed Rasheed Amir
poet7 quotes

More by Javed Rasheed Amir

View all →
Quote
"ham se puchhe koi chaahat kaa sazaa ho jaanaa narm guftaar kaa patthar kaa khudaa ho jaanaa jab main unvaan-e-mohabbat pe koi nazm likhun tum mahakte hue lafzon ki qabaa ho jaanaa naam khvaabon ki salibon pe na likhiye meraa meri fitrat hai haqiqat pe fidaa ho jaanaa main ne puujaa thaa tumhein dard-e-mohabbat ke sabab tum se ye kis ne kahaa thaa ki khudaa ho jaanaa dasht-e-tufaan mein agar meraa safina dekho tum miri maan ki tarah mahv-e-duaa ho jaanaa ab takalluf se koi kaam na lenaa 'aamir' jab vo tum se hon khafaa tum bhi khafaa ho jaanaa"
Javed Rasheed AmirJaved Rasheed Amir
Quote
"khulus isaar paarsaai hayaa sadaaqat hijaab likhkhun main lafz paani ke DhunD laaun to barf ki ye kitaab likhkhun na main huun gulchin na baaghbaan huun main is gulistaan kaa mohtasib huun zaraa main kaanTe shumaar kar luun to par gulon kaa hisaab likhkhun miTe miTe se huruf khat ke na jaane kyaa kyaa sunaa rahe hain main aansuon ki zabaan samajh luun to tere khat kaa javaab likhkhun mahaktaa paikar hasin rangat ye mast aankhein jhuki jhuki si bataa tujhe main gulaab likhkhun nasha likhkhun yaa sharaab likhkhun bataa ye tu hi in aansuon se main zindagi ke likhun masaail ki tere chehre ke khubsurat nuqush par ik kitaab likhkhun jo bhigi palkon se tum ne ik din vafaa ke vaa'de kiye the mujh se tumhin bataao ki ab main un ko saraab likhkhun ki khvaab likhkhun sahar ke sar hain na jaane kitni andheri raaton ke qarz 'aamir' dhuein charaaghon ke dein ijaazat to raushni kaa hisaab likhkhun"
Javed Rasheed AmirJaved Rasheed Amir
Quote
"fanaa huaa koi yahaan khitaab koi le gayaa ibaadatein kisi ki thiin savaab koi le gayaa vafaa ke jaam ke liye sajaae ham ne mai-kade magar labon se chhin kar sharaab koi le gayaa thi pyaar ki fazaa magar zabaan khuli na lab hile sitam ye us pe aankh se bhi aab koi le gayaa ye khushbuein bikher ke milaa hi kyaa bahaar ko larazti shaakh rah gai gulaab koi le gayaa fasaad ki haqiqatein likhi thiin jis mein harf harf varaq varaq masal ke vo kitaab koi le gayaa sukun is tarah luTaa dil-e-vafaa-shiaar kaa jo umr-bhar sajaae the vo khvaab koi le gayaa fareb-e-paak-daamani qadam qadam pe laghzishein vo 'aamir' aaj umr kaa hisaab koi le gayaa"
Javed Rasheed AmirJaved Rasheed Amir

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari