Shayari
bismillaah are-vaah main qurbaan main qurbaan
kyaa khuub lagi hai kamand allaah tiri shaan

Raja Mehdi Ali Khan
Raja Mehdi Ali Khan
bismillaah are-vaah main qurbaan main qurbaan
kyaa khuub lagi hai kamand allaah tiri shaan
vo sab aa ke izhaar-e-maatam kareinge
vo baiThak mein roeinge chaae piyeinge
buri buri nazrein chehre par Daal rahe hain uf tauba
ham apne donon gaalon ko jaa ke abhi dho aaeinge
pahle ham ko bahan kahaa ab fikr hamin se shaadi ki
ye bhi na sochaa bahan se shaadi kar ke kyaa kahlaaeinge
kis ki aaankhon se giraa hai ye
ye samundar hai baDaa saa aansu
uDaa leti hain sab naqadi talaashi jeb ki le kar
ham apni hi kamaai un se Dar Dar ke chhupaate hain
khudaayaa aaj ke shauhar hain yaa maasum bachche hain
zaraa saa ghuur le biivi to jhaT ye saham jaate hain
jab apnaa dukh sunaaun qamar ke pidar ko main
kahte hain dekh aag lagaa dungaa ghar ko main
main tum pe huun 'jaan-nisaar-akhtar' qasam hai 'munshi-fidaa-ali' ki
bahut dinon se main tum pe 'saahir' se jaadu Tone karaa rahaa huun
billu ko chup karaaun ki maarun qamar ko main
farsh-e-zamin dhoun ki maanjun kukar ko main
'zauq' kitne ruupe kamaataa thaa
apni biivi se kyuun chhupaataa thaa
kar liije 'raziya' se mohabbat ham par kiije nazr-e-karam
vo be-chaari phans jaaegi ham us ko samjhaaeinge