Shayari
main ne chaahaa thaa ki ashkon kaa tamaashaa dekhun
aur aankhon kaa khazaana thaa ki khaali niklaa

Saqi Faruqi
Saqi Faruqi
main ne chaahaa thaa ki ashkon kaa tamaashaa dekhun
aur aankhon kaa khazaana thaa ki khaali niklaa
pyaas baDhti jaa rahi hai bahtaa dariyaa dekh kar
bhaagti jaati hain lahrein ye tamaashaa dekh kar
vahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahtaa hai
miri yaadon mein ik bhulaa huaa chehraa bhi rahtaa hai
vahi jiine ki aazaadi vahi marne ki jaldi hai
divaali dekh li ham ne dasahre kar liye ham ne
khudaa ke vaaste mauqaa na de shikaayat kaa
ki dosti ki tarah dushmani nibhaayaa kar
qatl karne kaa iraada hai magar sochtaa huun
tu agar aae to haathon mein jhijak paidaa ho
main un se bhi milaa kartaa huun jin se dil nahin miltaa
magar khud se bichhaD jaane kaa andesha bhi rahtaa hai
naamon kaa ik hujum sahi mere aas-paas
dil sun ke ek naam dhaDaktaa zarur hai
jis ki havas ke vaaste duniyaa hui aziiz
vaapas hue to us ki mohabbat khafaa mili
mujhe khabar thi miraa intizaar ghar mein rahaa
ye haadsa thaa ki main umr bhar safar mein rahaa
aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paidaa ho
ruuh mein raushni lahje mein chamak paidaa ho
ye kyaa tilism hai kyuun raat bhar sisaktaa huun
vo kaun hai jo diyon mein jalaa rahaa hai mujhe