Shayari
saamne hai jo use log buraa kahte hain
jis ko dekhaa hi nahin us ko khudaa kahte hain

Sudarshan Faakir
Sudarshan Faakir
saamne hai jo use log buraa kahte hain
jis ko dekhaa hi nahin us ko khudaa kahte hain
ishq hai ishq ye mazaaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo
zikr jab hogaa mohabbat mein tabaahi kaa kahin
yaad ham aaeinge duniyaa ko havaalon ki tarah
teri aankhon mein ham ne kyaa dekhaa
kabhi qaatil kabhi khudaa dekhaa
dekhne vaalo tabassum ko karam mat samjho
unhein to dekhne vaalon pe hansi aati hai
ham se puchho na dosti kaa silaa
dushmanon kaa bhi dil hilaa degaa
ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
varna kyaa baat thi kis baat ne rone na diyaa
mere rukte hi miri saansein bhi ruk jaaeingi
faasle aur baDhaa do ki main zinda huun abhi
aashiqi ho ki bandagi 'faakhir'
be-dili se to ibtidaa na karo
apni surat lagi paraai si
jab kabhi ham ne aaina dekhaa
dil ke divaar-o-dar pe kyaa dekhaa
bas tiraa naam hi likhaa dekhaa
miri zabaan se miri daastaan suno to sahi
yaqin karo na karo mehrbaan suno to sahi