Shayari
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mauj-e-dariyaa se balaa ki chaahiye kashti mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karun
موج دریا سے بلا کی چاہئے کشتی مجھے
ہو جو بالکل نا موافق وہ ہوا پیدا کروں
मौज-ए-दरिया से बला की चाहिए कश्ती मुझे
हो जो बिल्कुल ना-मुवाफ़िक़ वो हवा पैदा करूँ

bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
har taraf hashr mein jhankaar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftaar chale aate hain
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aati hai
dil-e-majnun ke dhaDakne ki sadaa aati hai
muntazir tere hain chashm-e-khun-fishaan khole hue
baiThe hain dil bechne vaale dukaan khole hue
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
hue mar ke ham jo rusvaa hue kyuun na gharq-e-dariyaa
na kabhi janaaza uThtaa na kahin mazaar hotaa
us vaqt se bachaa mujhe ai rabb-e-kaainaat
hubb-e-vatan ho dil mein vatan kaaTne lage
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
aag se rishta hai meraa aur dariyaa bhi hai apnaa
aae din donon ke jhagDe mein ulajh kar rah gayaa huun
chalaa ghar se vo bahr-e-husn allaah re kashish dil ki
ajab qatra hai jo khinche liye jaataa hai dariyaa ko