Shayari
jis vaqt nazar paDti hai us shokh pe 'taskin'
kyaa kahiye ki ji mein mere kyaa kyaa nahin hotaa
T
Taskeen DehlaviTaskeen Dehlavi
Taskeen Dehlavi
jis vaqt nazar paDti hai us shokh pe 'taskin'
kyaa kahiye ki ji mein mere kyaa kyaa nahin hotaa
kahe deti hain ye nichi nigaahein
ki baalaa-e-zamin kyaa kyaa na hogaa
'taskin' ne naam le ke tiraa vaqt-e-marg aah
kyaa jaane kyaa kahaa thaa kisi ne sunaa nahin
shab-e-visaal mein sunnaa paDaa fasaana-e-ghair
samajhte kaash vo apnaa na raazdaar mujhe
zabt kartaa huun vale is par bhi hai ye josh-e-ashk
gir paDaa jo aankh se qatra vo dariyaa ho gayaa
itni na kiije jaane ki jaldi shab-e-visaal
dekhe hain main ne kaam bigaDte shitaab mein
puchhe jo tujh se koi ki 'taskin' se kyuun milaa
kah diijo haal dekh ke rahm aa gayaa mujhe
qaasid aayaa hai vahaan se tu zaraa tham to sahi
baat to karne de us se dil-e-betaab mujhe
abhi is raah se koi gayaa hai
kahe deti hai shokhi naqsh-e-paa ki
kartaa huun teri zulf se dil kaa mubaadala
har-chand jaantaa huun ye saudaa buraa nahin
taskin' karun kyaa dil-e-muztar kaa ilaaj ab
kam-bakht ko mar kar bhi to aaraam na aayaa