Shayari
har baar hi main jaan se jaane mein rah gayaa
main rasm-e-zindagi jo nibhaane mein rah gayaa

Umair Manzar
Umair Manzar
har baar hi main jaan se jaane mein rah gayaa
main rasm-e-zindagi jo nibhaane mein rah gayaa
sunaa ye thaa bahut aasuda hain saahil ke baashinde
magar TuuTi hui kashti mein dariyaa paar honaa thaa
ye to sach hai ki vo sitamgar hai
dar par aayaa hai to amaan mein rakh
is mahfil mein main bhi kyaa bebaak huaa
aib o hunar kaa saaraa parda chaak huaa
banaa ke vahm o gumaan ki duniyaa haqiqaton ke saraab dekhun
main apne hi aaine mein khud ko jahaan bhi dekhun kharaab dekhun
tazkira ho tiraa zamaane mein
aisaa pahlu koi bayaan mein rakh
ye mere saathi hain pyaare saathi magar inhein bhi nahin gavaaraa
main apni vahshat ke maqbare se nai tamannaa ke khvaab dekhun
baDhte chale gae jo vo manzil ko paa gae
main pattharon se paanv bachaane mein rah gayaa
saathi mire kahaan se kahaan tak pahunch gae
main zindagi ke naaz uThaane mein rah gayaa
yahaan ham ne kisi se dil lagaayaa hi nahin 'manzar'
ki is duniyaa se aakhir ek din be-zaar honaa thaa
marhale aur aane vaale hain
tiir apnaa abhi kamaan mein rakh