Shayari
aise baDhe ki manzilein raste mein bichh gaiin
aise gae ki phir na kabhi lauTnaa huaa

Wazir Agha
Wazir Agha
aise baDhe ki manzilein raste mein bichh gaiin
aise gae ki phir na kabhi lauTnaa huaa
us ki aavaaz mein the saare khad-o-khaal us ke
vo chahaktaa thaa to hanste the par-o-baal us ke
vo khush-kalaam hai aisaa ki us ke paas hamein
tavil rahnaa bhi lagtaa hai mukhtasar rahnaa
khuli kitaab thi phulon-bhari zamin meri
kitaab meri thi rang-e-kitaab us kaa thaa
itnaa na paas aa ki tujhe DhunDte phirein
itnaa na duur jaa ke hama-vaqt paas ho
yaa abr-e-karam ban ke baras khushk zamin par
yaa pyaas ke sahraa mein mujhe jiinaa sikhaa de
safar tavil sahi haasil-e-safar ye hai
vahaan ko bhuul gae aur yahaan ko pahchaanaa
ajab tarah se guzaari hai zindagi ham ne
jahaan mein rah ke na kaar-e-jahaan ko pahchaanaa
yaa rab tiri rahmat kaa talabgaar hai ye bhi
thoDi si mire shahr ko bhi aab-o-havaa de
ret par chhoD gayaa naqsh hazaaron apne
kisi paagal ki tarah naqsh miTaane vaalaa
aahista baat kar ki havaa tez hai bahut
aisaa na ho ki saaraa nagar bolne lage
dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaalaa
ab kahaan aaegaa vo lauT ke aane vaalaa