Shayari
ru-ba-ru hote hi jo soz-e-nihaan kar de 'ayaan
har kisi aankh mein kab itnaa hunar hotaa hai

Zain Ali Asif
Zain Ali Asif
ru-ba-ru hote hi jo soz-e-nihaan kar de 'ayaan
har kisi aankh mein kab itnaa hunar hotaa hai
jab yaad mein taDpein to mohabbat ko baDhaa dein
khud dard-e-mohabbat ki masihaai mohabbat
tiri yaadon ke sahraa mein sanam kyaa kyaa nahin hotaa
jahaan ho tishnagi kaa gham vahaan dariyaa nahin hotaa
jo dasht ke ghubaar mein gum-sum rahe unhein
qissa samundaron kaa sunaanaa fuzul hai
har she'r mujh ko khun-e-jigar ke 'evaz milaa
ye fan kisi ke dar se udhaaraa nahin milaa