SHAWORDS

aaj bhaDki rag-e-vahshat tire divaanon ki — Ehsan Danish Kandhlvi

"aaj bhaDki rag-e-vahshat tire divaanon ki qismatein jaagne vaali hain bayaabaanon ki phir ghaTaaon mein hai naqqaara-e-vahshat ki sadaa Toliyaan bandh ke chalin dasht ko divaanon ki aaj kyaa suujh rahi hai tire divaanon ko dhajjiyaan DhunDhte phirte hain garebaanon ki ruh-e-majnun abhi betaab hai sahraaon mein khaak be-vajh nahin uDti bayaabaanon ki us ne 'ehsaan' kuchh is naaz se muD kar dekhaa dil mein tasvir utar aai pari-khaanon ki"
Urdu

آج بھڑکی رگ وحشت ترے دیوانوں کی قسمتیں جاگنے والی ہیں بیابانوں کی پھر گھٹاؤں میں ہے نقارۂ وحشت کی صدا ٹولیاں بندھ کے چلیں دشت کو دیوانوں کی آج کیا سوجھ رہی ہے ترے دیوانوں کو دھجیاں ڈھونڈھتے پھرتے ہیں گریبانوں کی روح مجنوں ابھی بیتاب ہے صحراؤں میں خاک بے وجہ نہیں اڑتی بیابانوں کی اس نے احسانؔ کچھ اس ناز سے مڑ کر دیکھا دل میں تصویر اتر آئی پری خانوں کی

Hindi

आज भड़की रग-ए-वहशत तिरे दीवानों की क़िस्मतें जागने वाली हैं बयाबानों की फिर घटाओं में है नक़्क़ारा-ए-वहशत की सदा टोलियाँ बंध के चलीं दश्त को दीवानों की आज क्या सूझ रही है तिरे दीवानों को धज्जियाँ ढूँढते फिरते हैं गरेबानों की रूह-ए-मजनूँ अभी बेताब है सहराओं में ख़ाक बे-वजह नहीं उड़ती बयाबानों की उस ने 'एहसान' कुछ इस नाज़ से मुड़ कर देखा दिल में तस्वीर उतर आई परी-ख़ानों की

aaj bhaḌkī rag-e-vahshat tire dīvānoñ kī
Ehsan Danish Kandhlvi
Ehsan Danish Kandhlvi
Ehsan Danish Kandhlvi
poet102 quotes

More by Ehsan Danish Kandhlvi

View all →
Quote
"izhaar-e-sadaaqat mein asar kyon nahin hotaa ab meri taraf un kaa guzar kyon nahin hotaa khushbu kaa ye bikhraav bhi tauhin-e-chaman hai ehsaas tujhe baad-e-sahar kyon nahin hotaa kyon fikr se mahrum hain is daur ki naslein pahlaa saa zabaanon mein asar kyon nahin hotaa jo baat idhar hai vo udhar kyon nahin jaati jo karb idhar hai vo udhar kyon nahin hotaa is shahr-e-zabun-haal mein takhrib kaa ehsaas honaa to zaruri hai magar kyon nahin hotaa fankaar isi kashmakash-e-vaqt mein gum hain baazaar kharidaar-e-hunar kyon nahin hotaa allaah ko karte hain musibat mein sabhi yaad ye vird magar shaam-o-sahar kyon nahin hotaa khud-bin hain sabhi aur ye bataane se hain maa’zur aaine se nuqsaan-e-nazar kyon nahin hotaa peshaani-e-kohsaar pe suraj kaa hai milaad vaadi mein magar shor-e-sahar kyon nahin hotaa ho jis ke payambar kaa guzar ‘arsh-e-barin par ummat kaa sitaaron mein safar kyon nahin hotaa hairaan huun ki 'iqbaal' ki taa'lim kaa 'daanish' is shahr ke logon pe asar kyon nahin hotaa"
Ehsan Danish KandhlviEhsan Danish Kandhlvi
Quote
"hausle maayus zauq-e-justuju naakaam hai ye dil-e-naa-mahram-e-anjaam kaa anjaam hai aankh kyaa hai husn ki ranginiyon kaa aaina dil hai kyaa khun-e-tamannaa kaa chhalaktaa jaam hai dijiye bimaar-e-ulfat ki jigar-daari ki daad nazaa kaa aalam hai honTon par tumhaaraa naam hai phir vo yaad aae hui madhosh dil ki kaaenaat phir uThaa dard-e-jigar phir kuchh mujhe aaraam hai khaak-daan-e-dahr mein taskin kaa juuyaa na ho aah jab tak dil dhaDaktaa hai kahaan aaraam hai vo to dil mein dard ki duniyaa basaa kar chal diye mujh ko har taar-e-nafas ik maut kaa paighaam hai vaasil-e-mizraab-e-khaamoshi hai har taar-e-nafas us se kah do ab tire bimaar ko aaraam hai kar rahaa huun doston ke zoam par tark-e-vatan shaayad ab aaghaaz-e-daur-e-gardish-e-ayyaam hai"
Ehsan Danish KandhlviEhsan Danish Kandhlvi
Quote
"tiraa jamaal tiraa husn kaamgaar rahe vo kyaa kare na jise dil pe ikhtiyaar rahe hazaar kasrat-e-raaanaa ne chilmanein Daalin ba-har-hijaab-e-taayyun vo aashkaar rahe miri nazar kaa to kyaa zikr khud bahaar ke phuul fareb-khurda-e-rangini-e-bahaar rahe kisi maqaam pe dil ko sukun ho kyaa maani jo be-qaraar-e-azal hai vo be-qaraar rahe usi navaah mein ahl-e-nazar bhi mumkin hain kuchh aur der sar-e-tur intizaar rahe tamaam phuul the aur zarf-e-daaman-e-gulchin jo bach gae vo charaagh-e-shab-bahaar rahe miri nigaah mein hai vo harim-e-zebaai kaniz ban ke jahaan mariyam-e-bahaar rahe khizaan khizaan ho to daur-e-bahaar kyaa maani bahaar ho to khizaan kyuun bane bahaar rahe jahaan-e-husn ke asraar paa nahin saktaa jo ishq apni hadon tak hi be-qaraar rahe miri nazar se vo jalve na rah sake mastur jo zer-e-parda-e-pairaahan-e-bahaar rahe chhuDaa chukaa huun main dast-e-majaaz se daaman haqiqat apne hijaabon se hoshiyaar rahe main moDtaa huun isi rukh se kaarvaan apnaa kuchh aur der ufuq par abhi ghubaar rahe junun-e-shauq mein tahqiq-e-rang-o-bu kaisi rahe chaman mein to divaana-e-bahaar rahe hain is tarah ke zavaabit bhi be-qaraari mein ki tere saath zamaana bhi be-qaraar rahe vo sirf mere hain 'ehsaan' main faqat un kaa hai naagavaar kisi ko to naagavaar rahe"
Ehsan Danish KandhlviEhsan Danish Kandhlvi
Quote
"yuun us pe miri arz-e-tamannaa kaa asar thaa jaise koi suraj ki tapish mein gul-e-tar thaa uThti thiin darichon pe hamaari bhi nigaahein apnaa bhi kabhi shahr-e-nigaaraan mein guzar thaa ham jis ke taghaaful ki shikaayat ko gae the aankh us ne uThaai to jahaan zer-o-zabar thaa shaanon pe kabhi the tire bhige hue rukhsaar aankhon pe kabhi meri tarah daaman-e-tar thaa khushbu se moattar hai abhi tak vo guzargaah sadiyon se yahaan jaise bahaaron kaa nagar thaa hai un ke saraapaa ki tarah khush-qad o khush-rang vo sarv kaa paudaa jo sar-e-raahguzar thaa qatre ki taraai mein the tufaan ke nasheman zarre ke ahaate mein bagulon kaa bhanvar thaa is aadam-e-khaaki pe sitaaron ki nazar thi is khaak pe kuchh jalva-e-yazdaan kaa asar thaa main royaa to hansne ki sadaa aai kai yaar vo jaan-e-tamannaa pas-e-divaar-e-nazar thaa 'daanish' thaa ikahraa miraa pairaahan-e-hasti be-parda zamaane pe miraa aib-o-hunar thaa"
Ehsan Danish KandhlviEhsan Danish Kandhlvi
Quote
"jabin ki dhuul jigar ki jalan chhupaaegaa shuru-e-ishq hai vo fitratan chhupaaegaa damak rahaa hai jo nas nas ki tishnagi se badan is aag ko na tiraa pairahan chhupaaegaa tiraa ilaaj shifaa-gaah-e-asr-e-nau mein nahin khirad ke ghaav tu divaana-pan chhupaaegaa hisaar-e-zabt hai abr-e-ravaan ki parchhaain malaal-e-ruh ko kab tak badan chhupaaegaa nazar kaa fard-e-amal se hai silsila darkaar yaqin na kar ye siyaahi kafan chhupaaegaa kise khabar thi ki ye daur-e-khud-gharaz ik din junun se qimat-e-daar-o-rasan chhupaaegaa tiraa ghubaar zamin par utarne vaalaa hai kahaan tak ab ye bagula thakan chhupaaegaa khulegaa baad-e-nafas se jo rukh pe nil-kanval use kahaan tiraa ujlaa badan chhupaaegaa tire kamaal ke dhabbe tire uruuj ke daagh chhupaaegaa to koi ahl-e-fan chhupaaegaa jise hai faiz miri khaanqaah se 'daanish' vo kis tarah miraa rang-e-sukhan chhupaaegaa"
Ehsan Danish KandhlviEhsan Danish Kandhlvi
Quote
"ishq har-chand masaaib se pareshaan na huaa na huaa husn magar taaba-e-farmaan na huaa laakh duniyaa ne ye chaahaa ki pareshaan ho magar main tire gham ki hifaazat mein pareshaan na huaa dil ki aavaaz ho mahrum-e-asar kyaa maani ishq kaafir hai agar husn musalmaan na huaa darpai uqda-e-hasti hai azal hi se bashar lekin ik khaak ke zarre kaa bhi irfaan na huaa dil mein har khuun kaa qatra hai talaatum ba-kanaar jo magar aankh se Tapkaa vahi tufaan na huaa to vo aazaad ki be-vajh hai mujh se bhi gurez main vo majbur ki dushman se bhi naalaan na huaa apni paighaam-navaai ke nataaej mein mujhe fikr-e-zindaan to rahaa hai gham-e-zindaan na huaa jis ke mashrab mein mohabbat ho mohabbat kaa javaab meri taqdir mein aisaa koi insaan na huaa ek hi jalve se 'ehsaan' nazar haT na saki mujh se kuchh us ke sivaa kaar-e-numaayaan na huaa"
Ehsan Danish KandhlviEhsan Danish Kandhlvi

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari