"mavaaqe ishq ke vo ab kahaan hain adaaein yaar ki dard-e-zabaan hain nahin banti hai aapas mein koi baat hamaare darmiyaan kuchh talkhiyaan hain hamein milne nahin ab koi aataa muqaddar mein yahi tanhaaiyaan hain hain ye bhi ek hissa zindagi kaa idhar dukh hain udhar shahnaaiyaan hain palaT kar jaa nahin sakte vatan mein hamaari raah mein barbaadiyaan hain na jaao khud hamein paDh lo sabaq lo hami maghrib-zadon ki daastaan hain na khulvaao miraa munh anjuman mein mire dil mein kai baatein nihaan hain vafaa baDhti hai jin rishton se ai dost vahi rishte hamaare darmiyaan hain nazar aataa nahin sachchaai kaa lafz ye kaise rahnumaaon ke bayaan hain"
ab afsos karne se kyaa hogaa haasil — Ehsan Sehgal
"ab afsos karne se kyaa hogaa haasil hamaari tabaahi mein tum bhi the shaamil qayaamat jo guzri hai ham par jahaan mein nahin is mein apni khataa koi shaamil bas aankhon mein aae hue ashk pi kar dil-e-gham-zadaa par tu rakh sabr-e-kaamil hai qabza sabhi saahilon par adu kaa kahin bhi nahin meri kashti kaa saahil duaa hi hui jab na puuri hamaari dil apnaa hai ab to gunaahon pe maail duaa maangtaa hai hamesha ye 'sahgal' banaanaa mujhe apne hi dar kaa saail"
اب افسوس کرنے سے کیا ہوگا حاصل ہماری تباہی میں تم بھی تھے شامل قیامت جو گزری ہے ہم پر جہاں میں نہیں اس میں اپنی خطا کوئی شامل بس آنکھوں میں آئے ہوئے اشک پی کر دل غم زدہ پر تو رکھ صبر کامل ہے قبضہ سبھی ساحلوں پر عدو کا کہیں بھی نہیں میری کشتی کا ساحل دعا ہی ہوئی جب نہ پوری ہماری دل اپنا ہے اب تو گناہوں پہ مائل دعا مانگتا ہے ہمیشہ یہ سہگلؔ بنانا مجھے اپنے ہی در کا سائل
अब अफ़्सोस करने से क्या होगा हासिल हमारी तबाही में तुम भी थे शामिल क़यामत जो गुज़री है हम पर जहाँ में नहीं इस में अपनी ख़ता कोई शामिल बस आँखों में आए हुए अश्क पी कर दिल-ए-गम-ज़दा पर तू रख सब्र-ए-कामिल है क़ब्ज़ा सभी साहिलों पर अदू का कहीं भी नहीं मेरी कश्ती का साहिल दुआ ही हुई जब न पूरी हमारी दिल अपना है अब तो गुनाहों पे माइल दुआ माँगता है हमेशा ये 'सहगल' बनाना मुझे अपने ही दर का साइल
More by Ehsan Sehgal
View all →"ziyaan hi hai ziyaan ham se na puchho ye ghairon ki zabaan ham se na puchho sunaa sakte nahin haal-e-alam mein hamaari daastaan ham se na puchho ham apni zaat tak mahdud hain dost khayaal-e-aashiqaan ham se na puchho rahe hain zindagi bhar saadgi se khuraafaat-e-jahaan ham se na puchho karo mahsus khud hi baat sachchi yaqin hai ab kahaan ham se na puchho hai kitnaa talkh kaDvaa nafrat-aamez ab andaaz-e-bayaan ham se na puchho sajaayaa hai gulon se baagh saaraa kamaal-e-baaghbaan ham se na puchho jidhar dekho inaad-o-bughz ki dhaar hai mullaa ki azaan ham se na puchho karo idraak har ik guftugu kaa hain kyaa gustaakhiyaan ham se na puchho buraa maaneinge kah di gar haqiqat suluk-e-dostaan ham se na puchho raqibon ki raqaabat kyaa bataaein vo deinge gaaliyaan ham se na puchho rahe hain ham bhaTakte khud hi 'sahgal' so manzil kaa nishaan ham se na puchho"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"