Quote
"malaal-e-dil se ilaaj-e-gham-e-zamaana kiyaa ziyaa-e-mehr se raushan charaagh-e-khaana kiyaa sahar hui to vo aae laTon ko chhaTkaate zaraa khayaal-e-pareshaani-e-sabaa na kiyaa hazaar shukr ki ham maslahat-shanaas na the ki ham ne jis se kiyaa ishq vaalehaana kiyaa vo jis ke lutf mein begaanagi bhi shaamil thi usi ne aaj guzar dil se mahramaana kiyaa vo bazm-e-harf ho yaa mahfil-e-samaa-e-khayaal jahaan bhi vajd kiyaa ham ne be-taraana kiyaa"
