"hamaare zehn ki koi jihat qayaasi na thi umiid saath thi har gaam par udaasi na thi ye sach hai kucha-e-jaanaan se lauT aae ham magar dilon ki fazaa itni to siyaasi na thi hayaa thi aankhon mein saanson mein thaa vaqaar bahut hamaare ahd mein sab kuchh thaa be-libaasi na thi sameT paae na aap apne hi vajud ko ham jo baat us ne kahi thi hamein zaraa si na thi hamin ne toD diye aaine gharon ke 'nazar' kuchh aisi shahr-e-nigaaraan mein bad-havaasi na thi"
ab yahaan koi nahin saath nibhaane vaalaa — Arshad Nazar
"ab yahaan koi nahin saath nibhaane vaalaa teri yaadon ke sivaa kaun hai aane vaalaa aadmi jaag hi jaataa hai sahar hone par us ke andar hi koi hogaa jagaane vaalaa din mein kitni hi tamaazat ko luTaae suraj ham ne paayaa hai use Duub hi jaane vaalaa kis ke aansu hain jo patton pe chhalak aae hain kaun saa zakhm hai shaakhon ko rulaane vaalaa paanv se lipTi hui milti hain raahein kitni haae kis soch mein niklaa hai ye jaane vaalaa zabt TuTegaa to ye zakhm dahan kholeinge aansu pi legaa sabhi aansu bahaane vaalaa shaaeri apni 'nazar' saada-o-purkaar nahin ab kahaan koi rahaa sher sunaane vaalaa"
اب یہاں کوئی نہیں ساتھ نبھانے والا تیری یادوں کے سوا کون ہے آنے والا آدمی جاگ ہی جاتا ہے سحر ہونے پر اس کے اندر ہی کوئی ہوگا جگانے والا دن میں کتنی ہی تمازت کو لٹائے سورج ہم نے پایا ہے اسے ڈوب ہی جانے والا کس کے آنسو ہیں جو پتوں پہ چھلک آئے ہیں کون سا زخم ہے شاخوں کو رلانے والا پاؤں سے لپٹی ہوئی ملتی ہیں راہیں کتنی ہائے کس سوچ میں نکلا ہے یہ جانے والا ضبط ٹوٹے گا تو یہ زخم دہن کھولیں گے آنسو پی لے گا سبھی آنسو بہانے والا شاعری اپنی نظرؔ سادہ و پرکار نہیں اب کہاں کوئی رہا شعر سنانے والا
अब यहाँ कोई नहीं साथ निभाने वाला तेरी यादों के सिवा कौन है आने वाला आदमी जाग ही जाता है सहर होने पर उस के अंदर ही कोई होगा जगाने वाला दिन में कितनी ही तमाज़त को लुटाए सूरज हम ने पाया है उसे डूब ही जाने वाला किस के आँसू हैं जो पत्तों पे छलक आए हैं कौन सा ज़ख़्म है शाख़ों को रुलाने वाला पाँव से लिपटी हुई मिलती हैं राहें कितनी हाए किस सोच में निकला है ये जाने वाला ज़ब्त टूटेगा तो ये ज़ख़्म दहन खोलेंगे आँसू पी लेगा सभी आँसू बहाने वाला शायरी अपनी 'नज़र' सादा-ओ-पुरकार नहीं अब कहाँ कोई रहा शे'र सुनाने वाला

More by Arshad Nazar
View all →"dhuup samundar sahraa main thaa apni zaat mein kyaa kyaa main thaa sho'le mein thi phuul ki khushbu phuul ke andar sho'la main thaa jaagti aankhein bhaagte manzar jaane kis kaa sapnaa main thaa buDhaa maanjhi TuuTi kashti apne safar mein tanhaa main thaa mere lahu se chaand thaa raushan tujh bin jaltaa saveraa main thaa baahar baahar thi khaamoshi andar andar chikhaa main thaa biich samundar sairaabi thi saahil saahil pyaasaa main thaa peD se uljhaa peD se lipTaa jaise havaa kaa jhonkaa main thaa ruup dhaar ke jogi jaisaa jangal jangal bhaTkaa main thaa manzil kab thi mere safar ki phir bhi safar mein rahtaa main thaa mere lab pe hansi thi lekin dard mein Duubaa naghma main thaa mujh ko dekho meri ghazal mein aap hi apnaa lahja main thaa"
"be-dili se hi sahi naaz uThaao saahib kuchh na kuchh rasm-e-mohabbat to nibhaao saahib kab se bechain hai ye pyaas samundar ke liye jism ke sahraa ki aatish ko bujhaao saahib jins-e-baazaar mein qaanun bhi hai qaatil bhi bikne vaale hain sabhi daam lagaao saahib apne qad se jo main niklun to bikhar jaaungaa aaina-ghar kaa pata mujh ko bataao saahib dil ki basti kaa musaafir huun guzar jaane do tikhi nazron ke yuun pahre na lagaao saahib Thokarein khaa ke yunhi jaati hain sar-kash maujein zinda qaumon ki ye pahchaan bataao saahib dil ke jazbon se munavvar hain manaazir har su raakh ke Dher pe naghme na sunaao saahib ham ujaale hain andheron se guzar jaate hain tirgi raah ki kuchh aur baDhaao saahib koi chehra nahin sadiyon se tasavvur mein 'nazar' phir koi sham' in aankhon mein jalaao saahib"
"koi na puchhe 'nazar' vajh-e-sarkashi ham se zamaane-bhar ne bahut ki hai dil-lagi ham se ayaan hai dard samandar kaa unchi lahron se chhupaa na paaeinge ashkon ko vo kabhi ham se kiran koi miri raaton mein aa gai hogi kuchh aur baDh gai suraj ki be-rukhi ham se jahaan ruki thi kabhi raah-e-zindagi aa kar vahin se paaegi ik moD zindagi ham se gae the abr-e-karam ban ke jaanib-e-sahraa kuchh aur baDh gai sahraa ki tishnagi ham se jo kal talak hamein taarik-tar samajhte the vo aaj aae hain lene ko raushni ham se"
"jugnu saa koi aansu palkon pe chamak jaataa yaadon kaa ye lamha bhi phulon saa mahak jaataa be-rangiyaan lipTi hain is ahd ke manzar mein daaman jo na bantaa gul har dasht jhaTak jaataa patthar ke badan mein bhi vo ruuh jo dauDaataa aainon ki aankhon se har zakhm Tapak jaataa andar ki sadaaon ne har baar sanbhaalaa hai duniyaa ki agar suntaa main kab kaa bhaTak jaataa"
"khud-aagahi ke liye bahr-e-bekaraan mein utar shanaavari kaa hunar hai to jism-o-jaan mein utar har ek baat mujhe be-yaqin si lagti hai yaqin ban ke miri zaat-e-be-gumaan mein utar main dhuup dhuup ghani pyaas pi chukaa huun bahut kabhi to abr-e-ravaan dasht-e-be-karaan mein utar har ek lamha gurezaan saa lag rahaa hai mujhe kabhi to shoala-e-khanjar ghubaar-e-jaan mein utar nikal ke yaas ki in sard sard lahron se ai zindagi tu har ik shoala-e-javaan mein utar chamak uTheinge andheron mein anginat suraj tu barq ban ke mire qalb-e-naa-tavaan mein utar tujhe bhi karb ke dariyaa mein main Dubo dungaa jo ho sake to miri chashm-e-khun-fishaan mein utar har ek lamha hai tegh-e-sitam to kyaa gham hai daraaz-dasti-e-qaatil ke imtihaan mein utar faqih-e-shahr se qat-e-nazar kabhi to 'nazar' tu mere ashk ki be-harf daastaan mein utar"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"