"milegaa kyaa tujhe insaan saraabon mein bhaTakne se bujhegi pyaas jivan ki usi kaa naam raTne se andheraa laakh gahraa ho ujaalaa aa ke rahtaa hai koi shab rok sakti hai bhalaa suraj ko ugne se vahi to raah rokegaa jo teraa ham-safar hogaa havaa hi rok sakti hai faqat gul ko mahakne se nahin jo ho sakaa apnaa kisi bhi moD par 'paaThak' kahaan hai faaeda us se koi ummid rakhne se"
achchhaa hai yaa kharaab mujhe kuchh pata nahin — Gyanendra Pathak
"achchhaa hai yaa kharaab mujhe kuchh pata nahin duniyaa tiraa hisaab mujhe kuchh pata nahin muddat se niind aankhon mein aai nahin miri kahte hain kis ko khvaab mujhe kuchh pata nahin us ne kiyaa savaal tujhe mujh se pyaar hai main ne diyaa javaab mujhe kuchh pata nahin bhitar se mere koi mujhe de rahaa sadaa hai kaun ye janaab mujhe kuchh pata nahin aansu ataa kiye hain jo mahbub aap ne zamzam hain yaa sharaab mujhe kuchh pata nahin itnaa pata hai qarz tiraa mujh pe hai sanam is kaa magar hisaab mujhe kuchh pata nahin mujh ko kabhi bhi din ke ujaale nahin mile kaisaa hai aaftaab mujhe kuchh pata nahin saaqi na mujh se puchh miri tishnagi ki had thoDi si de sharaab mujhe kuchh pata nahin"
اچھا ہے یا خراب مجھے کچھ پتہ نہیں دنیا ترا حساب مجھے کچھ پتہ نہیں مدت سے نیند آنکھوں میں آئی نہیں مری کہتے ہیں کس کو خواب مجھے کچھ پتہ نہیں اس نے کیا سوال تجھے مجھ سے پیار ہے میں نے دیا جواب مجھے کچھ پتہ نہیں بھیتر سے میرے کوئی مجھے دے رہا صدا ہے کون یہ جناب مجھے کچھ پتہ نہیں آنسو عطا کیے ہیں جو محبوب آپ نے زمزم ہیں یا شراب مجھے کچھ پتہ نہیں اتنا پتہ ہے قرض ترا مجھ پے ہے صنم اس کا مگر حساب مجھے کچھ پتہ نہیں مجھ کو کبھی بھی دن کے اجالے نہیں ملے کیسا ہے آفتاب مجھے کچھ پتہ نہیں ساقی نہ مجھ سے پوچھ مری تشنگی کی حد تھوڑی سی دے شراب مجھے کچھ پتہ نہیں
अच्छा है या ख़राब मुझे कुछ पता नहीं दुनिया तिरा हिसाब मुझे कुछ पता नहीं मुद्दत से नींद आँखों में आई नहीं मिरी कहते हैं किस को ख़्वाब मुझे कुछ पता नहीं उस ने किया सवाल तुझे मुझ से प्यार है मैं ने दिया जवाब मुझे कुछ पता नहीं भीतर से मेरे कोई मुझे दे रहा सदा है कौन ये जनाब मुझे कुछ पता नहीं आँसू अता किए हैं जो महबूब आप ने ज़मज़म हैं या शराब मुझे कुछ पता नहीं इतना पता है क़र्ज़ तिरा मुझ पे है सनम इस का मगर हिसाब मुझे कुछ पता नहीं मुझ को कभी भी दिन के उजाले नहीं मिले कैसा है आफ़्ताब मुझे कुछ पता नहीं साक़ी न मुझ से पूछ मिरी तिश्नगी की हद थोड़ी सी दे शराब मुझे कुछ पता नहीं

More by Gyanendra Pathak
View all →"ujaalaa ab na saayaa rah gayaa hai diyaa bujh kar ke tanhaa rah gayaa hai yahaan ab kaun hai jo dard baanTe yahaan ab kaun apnaa rah gayaa hai utar aae sitaare sab zamin par falak par chaand tanhaa rah gayaa hai diye ki lau ye shab se puchh baiThi abhi kitnaa andheraa rah gayaa hai bujhaa Daale diye yaadon ke ham ne magar phir bhi ujaalaa rah gayaa hai"
"gumraah ham huzur bahut din nahin rahe apni jaDon se duur bahut din nahin rahe sadiyon mein jaanvar se ham insaan bane magar vahshat ki zad se duur bahut din nahin rahe us aakhiri buzurg ke jaane ke baa'd phir ghar ke adab-shuur bahut din nahin rahe jin ko gumaan thaa apne javaani ke daur par vo sab gumaan mein chuur bahut din nahin rahe bahke hamaare dil bhi fasaadon ke daur mein dil mein magar futur bahut din nahin rahe"
"nai zamin nayaa falsafa talaash karo nai ghazal ke liye kuchh nayaa talaash karo miraa zamir jo rastaa mujhe dikhaataa thaa vo mujh ko chhoD kahaan gum huaa talaash karo vo ek shakhs jo mujh ko bahut hi pyaaraa thaa kisi ne chhin liyaa tum zaraa talaash karo qadam qadam pe mileinge bahut se chauraahe unhin mein soch samajh raasta talaash karo vo jis kaa kaam hi phulon ko haar karnaa thaa vo aadmi thaa miyaan kaam kaa talaash karo"
"raam bannaa kyaa hansi parihaas hai raam kaa jivan kaThin vanvaas hai huun paristhitiyaan bhale kitni vikaT ham ko laDne kaa satat abhyaas hai dvand ke ab chhand chaaron or hain ab kahaan mangal ki koi aas hai karm hai vyaktitv se bilkul alag haae re kitnaa virodhaabhaas hai ek bhaunraa luT chuke Udyaan mein aaj bhi le kar ke aataa pyaas hai gaanv kaa panghaT vo khan khan chuDiyaan shesh un kaa aaj bas aabhaas hai"
"shahr aakar ye baat jaani hai zindagi gaanv ki suhaani hai buund huun os ki magar mujh se kyon samundar ne haar maani hai ik samundar se mil ke kho jaanaa har nadi ki yahi kahaani hai raah-e-ulfat se tum nahin Dignaa ik yahi amn ki nishaani hai dard ne lams se kahaa yaaraa choT dil par bahut puraani hai yaa-khudaa mujh ko bakhsh de daulat ik ghazal ki kitaab laani hai ishq sirat se tum karo 'paaThak' rang faani hai ruup faani hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"