SHAWORDS

agarche main khat-e-jaada pe ik gard-e-safar huun — Jawed Ahmad

HomeJawed AhmadGhazal
"agarche main khat-e-jaada pe ik gard-e-safar huun khaTaktaa huun magar phir bhi ki manzil ki khabar huun ye mauj-e-khun hai sairaabi-e-dil kaa ik ishaara so ik khaak-e-numu-rafta pe hi mahv-e-safar huun ye umr-e-khaak-paimaa ik tamannaa se bhi kam hai so kitni khvaahishon se main abhi tak be-khabar huun khule hain rang-e-imkaanaat aainda ke mujh par niraali meri khushbu hai main miTTi kaa shajar huun jamaal-e-saaat-e-sad-rang ko main she'r kar duun main kab se is junun-angez ke zer-e-asar huun tah-e-satar-e-tamannaa dekh luun dil kaa taDapnaa ziyaada to nahin itnaa to main saahib-nazar huun"
Urdu

اگرچہ میں خط جادہ پہ اک گرد سفر ہوں کھٹکتا ہوں مگر پھر بھی کہ منزل کی خبر ہوں یہ موج خوں ہے سیرابیٔ دل کا اک اشارہ سو اک خاک نمو رفتہ پہ ہی محو سفر ہوں یہ عمر خاک پیما اک تمنا سے بھی کم ہے سو کتنی خواہشوں سے میں ابھی تک بے خبر ہوں کھلے ہیں رنگ امکانات آئندہ کے مجھ پر نرالی میری خوشبو ہے میں مٹی کا شجر ہوں جمال ساعت صد رنگ کو میں شعر کر دوں میں کب سے اس جنوں انگیز کے زیر اثر ہوں تہ سطر تمنا دیکھ لوں دل کا تڑپنا زیادہ تو نہیں اتنا تو میں صاحب نظر ہوں

Hindi

अगरचे मैं ख़त-ए-जादा पे इक गर्द-ए-सफ़र हूँ खटकता हूँ मगर फिर भी कि मंज़िल की ख़बर हूँ ये मौज-ए-ख़ूँ है सैराबी-ए-दिल का इक इशारा सो इक ख़ाक-ए-नुमू-रफ़्ता पे ही महव-ए-सफ़र हूँ ये उम्र-ए-ख़ाक-पैमा इक तमन्ना से भी कम है सो कितनी ख़्वाहिशों से मैं अभी तक बे-ख़बर हूँ खुले हैं रंग-ए-इम्कानात आइंदा के मुझ पर निराली मेरी ख़ुशबू है मैं मिट्टी का शजर हूँ जमाल-ए-साअ'त-ए-सद-रंग को मैं शे'र कर दूँ मैं कब से इस जुनूँ-अंगेज़ के ज़ेर-ए-असर हूँ तह-ए-सतर-ए-तमन्ना देख लूँ दिल का तड़पना ज़ियादा तो नहीं इतना तो मैं साहिब-नज़र हूँ

agarche maiñ ḳhat-e-jāda pe ik gard-e-safar huuñ
Jawed Ahmad
Jawed Ahmad
Jawed Ahmad
poet7 quotes

More by Jawed Ahmad

View all →
Quote
"har qadam ik khat-e-eajaaz mein rakkhe hue hain vo ram-o-raft kis andaaz mein rakkhe hue hain umr bhar un ke taaaqub mein rahe aur khulaa khaak-paimaai ko aaghaaz mein rakkhe hue hain ek rasmi saa taaaruf thaa mulaaqaat na thi aur ham saada use raaz mein rakkhe hue hain qumri-o-bulbul-o-taaus-o-rubaab-o-nai-o-chang sab usi husn ko aavaaz mein rakkhe hue hain ye jo palkon mein dam-e-shab hain chale aae charaagh kisi mahtaab ke andaaz mein rakkhe hue hain vo rukh-e-husn-e-samaaat hai kisi aur taraf ham abas dard ko aavaaz mein rakkhe hue hain"
Jawed AhmadJawed Ahmad

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim