SHAWORDS

ai mazaaq-e-justuju-e-dost tu le chal kahin — Bismil Dehlavi

HomeBismil DehlaviGhazal
"ai mazaaq-e-justuju-e-dost tu le chal kahin ye zamin ho yaa na ho ye aasmaan ho yaa na ho sar jhukaae meri baalin se uThaa hai chaaraagar ab vo meri iltijaa par mehrbaan ho yaa na ho qissa-e-uftaad-e-gham kah kar subuk-sar kyon banun vo mire haal-e-zabun par mehrbaan ho yaa na ho piine vaale pi magar Thukraa ke pi har qaid-o-band mai-kada ho yaa na ho pir-e-mughaan ho yaa na ho aansuon se dil zaraa halkaa to ho jaataa hai dost kyaa khabar yuun chaara-e-dard-e-nihaan ho yaa na ho taaqat-e-parvaaz hoti jaa rahi hai garm-kaar ab chaman ho yaa na ho ab aashiyaan ho yaa na ho chashm-e-dushman mein hai is bedaar-qismat kaa maqaam doston ke lab pe meri daastaan ho yaa na ho zamzama-pardaaz shaa'ir chaahiye ab bazm mein ahl-e-fan ho yaa na ho ahl-e-zabaan ho yaa na ho"
Urdu

اے مذاق جستجوئے دوست تو لے چل کہیں یہ زمیں ہو یا نہ ہو یہ آسماں ہو یا نہ ہو سر جھکائے میری بالیں سے اٹھا ہے چارہ گر اب وہ میری التجا پر مہرباں ہو یا نہ ہو قصۂ افتاد غم کہہ کر سبک سر کیوں بنوں وہ مرے حال زبوں پر مہرباں ہو یا نہ ہو پینے والے پی مگر ٹھکرا کے پی ہر قید و بند میکدہ ہو یا نہ ہو پیر مغاں ہو یا نہ ہو آنسوؤں سے دل ذرا ہلکا تو ہو جاتا ہے دوست کیا خبر یوں چارۂ درد نہاں ہو یا نہ ہو طاقت پرواز ہوتی جا رہی ہے گرم کار اب چمن ہو یا نہ ہو اب آشیاں ہو یا نہ ہو چشم دشمن میں ہے اس بیدار قسمت کا مقام دوستوں کے لب پہ میری داستاں ہو یا نہ ہو زمزمہ پرداز شاعر چاہئے اب بزم میں اہل فن ہو یا نہ ہو اہل زباں ہو یا نہ ہو

Hindi

ऐ मज़ाक़-ए-जुस्तजू-ए-दोस्त तू ले चल कहीं ये ज़मीं हो या न हो ये आसमाँ हो या न हो सर झुकाए मेरी बालीं से उठा है चारागर अब वो मेरी इल्तिजा पर मेहरबाँ हो या न हो क़िस्सा-ए-उफ़्ताद-ए-ग़म कह कर सुबुक-सर क्यों बनूँ वो मिरे हाल-ए-ज़बूँ पर मेहरबाँ हो या न हो पीने वाले पी मगर ठुकरा के पी हर क़ैद-ओ-बंद मै-कदा हो या न हो पीर-ए-मुग़ाँ हो या न हो आँसुओं से दिल ज़रा हल्का तो हो जाता है दोस्त क्या ख़बर यूँ चारा-ए-दर्द-ए-निहाँ हो या न हो ताक़त-ए-परवाज़ होती जा रही है गर्म-कार अब चमन हो या न हो अब आशियाँ हो या न हो चश्म-ए-दुश्मन में है इस बेदार-क़िस्मत का मक़ाम दोस्तों के लब पे मेरी दास्ताँ हो या न हो ज़मज़मा-पर्दाज़ शा'इर चाहिए अब बज़्म में अहल-ए-फ़न हो या न हो अहल-ए-ज़बाँ हो या न हो

ai mazāq-e-justujū-e-dost tū le chal kahīñ
Bismil Dehlavi
Bismil Dehlavi
Bismil Dehlavi
poet31 quotes

More by Bismil Dehlavi

View all →
Quote
"fitrat-e-ahbaab se mahram rahe khush rahe haalaanki sarf-e-gham rahe jab tak is daar-e-fanaa mein ham rahe mubtalaa-e-gardish-e-paiham rahe ham bane hain takhta-e-mashq-e-sitam imtihaan-gaah-e-vafaa mein ham rahe fasl-e-gul mein bhi rahaa khauf-e-khizaan ham ba-har-haalat asir-e-gham rahe gul mein bhi aati rahi bu-e-turaab haasil-e-dauraan se ham mahram rahe gardishon ne talkh kar di zindagi maut se ham phir bhi naa-mahram rahe un ke jaur-o-zulm se aai na maut haae ye altaaf bhi to kam rahe kaun si 'bismil' mein aisi baat thi muddaton is maut pe maatam rahe"
Bismil DehlaviBismil Dehlavi
Quote
"jo khush-nasib tere ishq mein kharaab hue ba-e-e'tibaar-e-haqiqat vo kaamyaab hue gham-e-davaam ke asraar be-naqaab hue ye chand jure kahaan tak asar-ma-aab hue miri nigaah mein vo jalve sehr-kaar nahin jo jalve aam nigaahon mein be-naqaab hue chalaa main un kaa tasavvur kiye hue jis vaqt jo zarre raah mein aae vo aaftaab hue tiri qaraabat unhein bhi kahaan mayassar hai tire jamaal-kade mein jo baaryaab hue karishma-saazi-e-jazbaat-e-ishq are tauba haqir zarre tire husn kaa javaab hue idhar banaayaa hai qasr-e-tasavvuraat-e-jamil udhar ham un ke liye khaanumaan-kharaab hue ye haadsaat-e-mohabbat are khudaa ki panaah tumhaari bazm mein 'bismil' bhi baaryaab hue"
Bismil DehlaviBismil Dehlavi
Quote
"taDap kar shiddat-e-gham se jab un kaa naam lete hain ye vahshi nabz-e-raftaar-e-do-'aalam thaam lete hain ham ahl-e-dil kahaan ehsaan-e-lutf-e-‘aam lete hain lab-e-gulfaam se kaif-e-mai-e-gulfaam lete hain ye goristaan nahin aaraam-gaah-e-ahl-e-duniyaa hai yahaan haare thake aa kar zaraa aaraam lete hain ham aain-e-mohabbat se to begaana nahin lekin jab un kaa zikr aataa hai kaleja thaam lete hain hadis-e-'ishq ki tafsir soz-e-‘ishq hai 'bismil' khudaa ke naam se pahle ham un kaa naam lete hain"
Bismil DehlaviBismil Dehlavi
Quote
"har subh-e-darakhshaan mere liye paighaam-e-masarrat hoti hai yaani ik din kam aur huaa ab maut se qurbat hoti hai duniyaa ke munh se suntaa huun aur sun kar sochtaa rahtaa huun jo niind se ik dam jaag uThe aisi bhi qismat hoti hai hasti ki karvaT paik-e-ajal aur paik-e-ajal paighaam-e-sukun hasti jab karvaT leti hai aalaam se fursat hoti hai manjdhaar se kashti bach nikli to saahil se majruh hui mallaah pe ab ye bhed khulaa qismat phir qismat hoti hai allaah re sola saal kaa sin raftaar nai guftaar nai is umr ki kyaa taarif karun ye umr qayaamat hoti hai nazron se nazrein milte hi sharmaanaa jhijaknaa jhunjhlaanaa o naaz-o-adaa vaale yuun bhi taaid-e-mohabbat hoti hai har roz kahaan gaahe-gaahe aur vo bhi bas ik do jure main bhi pi letaa huun 'bismil' jab us ki rahmat hoti hai"
Bismil DehlaviBismil Dehlavi
Quote
"haasil-e-firdaus to ho jaae viraana abhi maail-e-girya nahin hai teraa divaana abhi khatm to ho jaae kufr-e-imtiyaazaat-e-nazar log hain naa-mahram-e-aadaab-e-mai-khaana abhi main badal to duun zamaane kaa ye farsuda nizaam mujh tak aaya hi nahin ai dost paimaana abhi aag mein jal kar visaal-e-dost hotaa hai nasib hai tavaaf-e-sham’ mein masruf parvaana abhi 'ishq kaa markaz kahaan aur dasht-paimaai kahaan apni manzil se bahut pichhe hai divaana abhi TuTne paae na yaa-rab aansuon kaa silsila naa-mukammal hai gham-e-'aashiq kaa afsaana abhi hosh aate hi main kis zulmat-kade mein aa gayaa thaa qarib-e-maah-o-anjum meraa kaashaana abhi lab pe aati baat kah to duun magar samjhegaa kaun ek 'aalam hai sukhan-fahmi se begaana abhi aaj tishna rah na jaae 'bismil'-e-sahbaa-parast raat baaqi hai abhi raqsaan hai paimaana abhi"
Bismil DehlaviBismil Dehlavi
Quote
"vo har tufaan jo ham-aaghosh-e-saahil hotaa jaataa hai husul-e-gauhar-e-taabaan mein haail hotaa jaataa hai miraa zauq-e-tajassus kaamgaar o kaamraan hogaa daraaz ab kis liye daamaan-e-saahil hotaa jaataa hai jo uqda koshish-e-paiham se aasaan kartaa jaataa huun vo uqda aur mushkil aur mushkil hotaa jaataa hai na jaane kis tarah kis vaaste kis dil se piitaa huun zamaana hai ki sarf-e-vahm-e-baatil hotaa jaataa hai khudaa jaane mujhe vo dekhte hain kin adaaon se ki gham aahista aahista miraa dil hotaa jaataa hai tire honTon se saaqi jis qadar main piitaa jaataa huun javaani kaa mujhe ehsaas-e-kaamil hotaa jaataa hai kahaan tak shikva-e-be-mehri-e-ahbaab ai hamdam zamaana darpae-aazaar-e-'bismil' hotaa jaataa hai"
Bismil DehlaviBismil Dehlavi

More on Dosti

View all →
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba