"tu shab-o-roz se halkaan nazar aataa hai chand hi roz kaa mehmaan nazar aataa hai khushk aankhon mein basaa dard kaa sahraa dekho har koi chaak-garebaan nazar aataa hai ab talak meri samajh mein nahin aaya ki ye ghar kis ke jaane pe bayaabaan nazar aataa hai Daal rakkhe hain mohabbat ke arize ham ne kyon ye dariyaa tumhein sunsaan nazar aataa hai chaahtaa huun ki kisi kaam hi aa jaaun kahin par sabhi ko safar aasaan nazar aataa hai"
aisaa nahin milegaa kahin be-qaraar dil — Amritanshu Sharma
"aisaa nahin milegaa kahin be-qaraar dil aashuftagi kaa maaraa huaa sogvaar dil baazaar bhi hai dair-o-haram bhi hain ishq bhi jhele to jhele kitnaa gham-e-rozgaar dil kuchh roz se vo khasta-tani hai ki kyaa kahun siina rafu kiyaa to huaa taar-taar dil thaa ik khayaal us kaa so vo bhi chalaa gayaa kis se nikaale jaa ke bhalaa ab ghubaar-e-dil bas ek sang-e-dar se rahaa rishta umr-bhar aisaa nahin milegaa ibaadat-guzaar dil teri hi be-niyaaz adaa kaa asar ye hai ab khud hi DhunDhne lagaa raah-e-faraar dil is shahr-e-rang-o-nur se aage nikal gayaa ab jaa chukaa hai ishq-e-majaazi ke paar dil"
ایسا نہیں ملے گا کہیں بے قرار دل آشفتگی کا مارا ہوا سوگوار دل بازار بھی ہے دیر و حرم بھی ہیں عشق بھی جھیلے تو جھیلے کتنا غم روزگار دل کچھ روز سے وہ خستہ تنی ہے کہ کیا کہوں سینہ رفو کیا تو ہوا تار تار دل تھا اک خیال اس کا سو وہ بھی چلا گیا کس سے نکالے جا کے بھلا اب غبار دل بس ایک سنگ در سے رہا رشتہ عمر بھر ایسا نہیں ملے گا عبادت گزار دل تیری ہی بے نیاز ادا کا اثر یہ ہے اب خود ہی ڈھونڈھنے لگا راہ فرار دل اس شہر رنگ و نور سے آگے نکل گیا اب جا چکا ہے عشق مجازی کے پار دل
ऐसा नहीं मिलेगा कहीं बे-क़रार दिल आशुफ़्तगी का मारा हुआ सोगवार दिल बाज़ार भी है दैर-ओ-हरम भी हैं इश्क़ भी झेले तो झेले कितना ग़म-ए-रोज़गार दिल कुछ रोज़ से वो ख़स्ता-तनी है कि क्या कहूँ सीना रफ़ू किया तो हुआ तार-तार दिल था इक ख़याल उस का सो वो भी चला गया किस से निकाले जा के भला अब ग़ुबार-ए-दिल बस एक संग-ए-दर से रहा रिश्ता उम्र-भर ऐसा नहीं मिलेगा इबादत-गुज़ार दिल तेरी ही बे-नियाज़ अदा का असर ये है अब ख़ुद ही ढूँढने लगा राह-ए-फ़रार दिल इस शहर-ए-रंग-ओ-नूर से आगे निकल गया अब जा चुका है इश्क़-ए-मजाज़ी के पार दिल

More by Amritanshu Sharma
View all →"dil ko teraa gumaan saa hotaa hai ek jazba javaan saa hotaa hai shab ki tanhaaiyon mein aankhon se ek dariyaa ravaan saa hotaa hai dard kaa aaftaab Dhalne par aasmaan khun-chakaan saa hotaa hai tu nahin hai pa teraa gham meraa aadatan ham-zabaan saa hotaa hai teri parchhaaiyaan ubharti hain aankh mein jab dhuaan saa hotaa hai niind aati hai dasht mein us dam ishq jab saaebaan saa hotaa hai tu to 'amrit' hai phir bhi maut ke vaqt kyuun bhalaa raaegaan saa hotaa hai"
"milte hain shahr-e-yaar mein manzar gulaab ke sab saaebaan gulaab ke sab dar gulaab ke jab aaftaab khuun mein nahaayaa zavaal par baadal lahu-lahu the ki lashkar gulaab ke saayaa kisi kaa sehn-e-chaman par bikhar gayaa aur ban rahe hain baagh mein paikar gulaab ke koi to rang-e-aatish-e-lab ko badal gayaa pahle the un ke honT baraabar gulaab ke yaaqut thaa sharar the lahu thaa ki aab-e-surkh aankhein thiin un ki yaa ki the saaghar gulaab ke bhanvaron se puchhe koi bhalaa ras ko chhoD kar kyaa DhunDte hain jaane vo andar gulaab ke bulbul se koi kah de chaman mein ki in dinon 'amrit' bhi ho gae hain sukhanvar gulaab ke"
"qaraar DhunD rahaa huun magar qaraar nahin ki ik zaraa dil-e-muztar pe ikhtiyaar nahin duaaein kartaa huun didaar-e-yaar ki lekin ajab ye hai ki qayaamat kaa intizaar nahin kabhi to us ke kahe par hi maan letaa thaa aur ab ye haal ki aankhon pe eatibaar nahin kabhi use kabhi mujh ko hai Dar bichhaDne kaa shab-e-visaal kisi taur khush-gavaar nahin"
"vo sab ilzaam mere sar pe dhartaa jaa rahaa hai zamaane ki nigaahon mein sanvartaa jaa rahaa hai nai har dosti ke marhale par ek rishta ikaTThaa kartaa jaataa huun bikhartaa jaa rahaa hai kisi ko bhaa gai hai mere raste ki musibat safar hisse kaa mere koi kartaa jaa rahaa hai vo haasil ho chukaa hai jis ko paane ki thi hasrat junun jo thaa kabhi sar par utartaa jaa rahaa hai"
"lamhe-bhar mein tum ne meri har khubi ko khaam kiyaa main ne kahaa ki naam kiyaa hai tum ne kahaa badnaam kiyaa apnaa kaam thaa us tak jaanaa gardish ho yaa sozish ho us ke dar tak pahunche dastak dete hi aaraam kiyaa jis ke sar par taaj kabhi thaa fikr mein guzri us ki bhi dekhe duniyaa is ulfat ne kyaa teraa anjaam kiyaa likhni thi betaabi dil ki 'amrit' khat mein yuun likkhi kuchh kaaTaa kuchh likkhaa qaasid ke haathon paighaam kiyaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"