SHAWORDS

aish jis ghar mein mayassar thaa vo ghar yaad nahin — Mohammad Umar

HomeMohammad UmarGhazal
"aish jis ghar mein mayassar thaa vo ghar yaad nahin ab to viraane mein suntaa koi fariyaad nahin kaun hai vo jo tire ishq mein barbaad nahin kaun furqat mein tiri maail-e-fariyaad nahin husn be-misl thaa be-misl thi har shaan-e-jamaal unhein sau martaba dekhaa hai magar yaad nahin daar-e-faani tujhe detaa hai fareb-e-taamir hai ye viraan-saraa koi ghar aabaad nahin tu jise chaahe use hogaa do-aalam mein uruuj tu jise chaahe vo kaunain mein barbaad nahin aish bachpan kaa rakhun yaad main kyon piiri mein jab javaani kaa mujhe lutf 'umar' yaad nahin"
Urdu

عیش جس گھر میں میسر تھا وہ گھر یاد نہیں اب تو ویرانے میں سنتا کوئی فریاد نہیں کون ہے وہ جو ترے عشق میں برباد نہیں کون فرقت میں تری مائل فریاد نہیں حسن بے مثل تھا بے مثل تھی ہر شان جمال انہیں سو مرتبہ دیکھا ہے مگر یاد نہیں دار فانی تجھے دیتا ہے فریب تعمیر ہے یہ ویران سرا کوئی گھر آباد نہیں تو جسے چاہے اسے ہوگا دو عالم میں عروج تو جسے چاہے وہ کونین میں برباد نہیں عیش بچپن کا رکھوں یاد میں کیوں پیری میں جب جوانی کا مجھے لطف عمرؔ یاد نہیں

Hindi

ऐश जिस घर में मयस्सर था वो घर याद नहीं अब तो वीराने में सुनता कोई फ़रियाद नहीं कौन है वो जो तिरे इश्क़ में बर्बाद नहीं कौन फ़ुर्क़त में तिरी माइल-ए-फ़रियाद नहीं हुस्न बे-मिस्ल था बे-मिस्ल थी हर शान-ए-जमाल उन्हें सौ मर्तबा देखा है मगर याद नहीं दार-ए-फ़ानी तुझे देता है फ़रेब-ए-ता'मीर है ये वीरान-सरा कोई घर आबाद नहीं तू जिसे चाहे उसे होगा दो-आलम में उरूज तू जिसे चाहे वो कौनैन में बर्बाद नहीं ऐश बचपन का रखूँ याद मैं क्यों पीरी में जब जवानी का मुझे लुत्फ़ 'उमर' याद नहीं

aish jis ghar meñ mayassar thā vo ghar yaad nahīñ
Mohammad Umar
Mohammad Umar
Mohammad Umar
poet9 quotes

More by Mohammad Umar

View all →
Quote
"sharaab pi aur miTaa khudi ko agar khayaal-e-savaab mein hai ki zohd-o-taqvaa mein vo kahaan hai jo lutf shaghl-e-sharaab mein hai na ho jise hosh khud hi apnaa use ho kyaa dusron ki parvaa kisi ki vo kis tarah khabar le jo khud hi josh-e-sharaab mein hai agar ye dil teraa aastaan hai to kyon pareshaan-o-sargiraan hai jo tu miri ruuh mein nihaan hai to ruuh kyon iztiraab mein hai ye sab 'ajib-o-gharib shaanein tire jamaal-o-jalaal ki hain na koi ThanDak savaab mein hai na koi garmi 'azaab mein hai lahad ki khalvat mein chaahtaa huun ki tere jalvon se sair ho luun main kis tarah apni aankh kholun ki tu miri chashm-e-khvaab mein hai sukun ki us se kyon du'aa hai fuzul raahat ki iltijaa hai vo apni aankhon se dekhtaa hai ki ik jahaan iztiraab mein hai vo shaad hain dekh kar tabaahi shagufta dil hain fasurdagi se 'umar' koi to bahaar aisi hamaare haal-e-kharaab mein hai"
Mohammad UmarMohammad Umar
Quote
"meraa mazaaq-e-ishq hai rusvaa kahein jise hai raaz teraa husn-e-muamma kahein jise paidaa kahaa hai koi ki tujh saa kahein jise tere sivaa hai kaun piyaaraa kahein jise phir kashti-e-umid ho saahil se ham-kanaar itnaa hi ho karam ki sahaaraa kahein jise taa-zist bekali rahe tere firaaq mein jaari hon aise ashk ki dariyaa kahein jise kaaba hai teraa ghar dil-e-shaidaa hai teraa ghar lekin vo aur kaun hai tujh saa kahein jise ai barq-e-husn phunk de mujh ko kuchh is tarah sab dida-e-kalim kaa surma kahein jise phir kashti-e-muraad ko saahil ke paas laa phir maujzan ho rahm kaa dariyaa kahein jise tufaan-e-maasiyat se mile jald-tar najaat Daal aisi ik nazar ki vasila kahein jise naahaq mariz-e-ishq kaa karte hain vo ilaaj taqdir mein kahaan hai mudaavaa kahein jise paidaa vo dard kar dil-e-ulfat-nasib mein duniyaa ke dekhne ko tamaashaa kahein jise dil ko tajalliyaat ki kirnon se de chamak taariki-e-jahaan kaa ujaalaa kahein jise nazzaara-e-jamaal se betaab ho na dil vo zarf ho ataa ki gavaaraa kahein jise jo dil thaa apnaa munis-o-gham-khvaar-o-jaan-navaaz itnaa kahaan rahaa hai ki apnaa kahein jise parde mein chupke aah na kar tu hamein kharaab mil is tarah haqiqat-e-jalva kahein jise daamaan-e-aafiyat hi ghanimat hai ai 'umar' us par hi un ke zulm hain shaidaa kahein jise"
Mohammad UmarMohammad Umar
Quote
"pi jab ki mai-e-ishrat ki jab ye khataa tauba pi pi ke sharaab-e-gham sau baar kahaa tauba karnaa thaa mujhe sajda main bhuul gayaa tauba jaa kar dar-e-jaanaan par ki main ne khataa tauba duniyaa mein koi kis se kartaa hai vafaa tauba dil jis ko diyaa ham ne ki us ne daghaa tauba ik jaam ke piite hi main jhuum gayaa tauba saaqi ye piyaale mein kyaa tu ne diyaa tauba is darja hui muztar yusuf ki mohabbat mein aakhir ko zulekhaa ne ki but se hayaa tauba piite hi sharaab-e-gham sab aish hue rukhsat main lazzat-e-ishrat bhi ab bhuul gayaa tauba har-vaqt gunaahon se go thi mujhe dilchaspi thaa ijz pasand un ko kartaa hi rahaa tauba ik aalam-e-hairat mein aaghosh-e-mohabbat mein mai kis ne pilaai thi main bhuul gayaa tauba jo kaam na karnaa thaa vo kaam kiyaa main ne jo kaam thaa karne kaa vo ho na sakaa tauba aaya huun azal se main vaarafta haqiqat kaa duniyaa ki mohabbat mein ho jaaun fanaa tauba kuchh shauq-e-shahaadat mein kuchh josh-e-mohabbat mein qaatil ke tabassum par bismil ne kahaa tauba bas dekh li ai duniyaa ye chaaragari teri bimaar-e-mohabbat ko deti hai davaa tauba rindon ke muqaddar mein thi baada-kashi lekin vaaiz ne jo mai pi li saaqi ne kahaa tauba har-vaqt tasavvur mein har khalvat-o-jalvat mein sau baar unhein dekhaa phir bhuul gayaa tauba hai aag ki baarish si siine mein 'umar' har dam hai ishq ki duniyaa mein garm aab-o-havaa tauba"
Mohammad UmarMohammad Umar
Quote
"inhin fikron mein guzri umr raahat kaisi hoti hai yahi uljhan rahi har dam masarrat kaisi hoti hai bataaun kyaa kisi ko main ki hijrat kaisi hoti hai tamanna ki harim-e-dil se rukhsat kaisi hoti hai zaraa to ghaur kar ai dil ki farhat kaisi hoti hai nazar phulon pe paDte hi masarrat kaisi hoti hai talaash-e-yaar mein nikle to phir taklif kaa kyaa gham khayaal-e-ishq kyaa jaane musibat kaisi hoti hai mohabbat ki nazar se dekh le koi zaraa aakar ye hasrat hai ki aankhon ki ziyaarat kaisi hoti hai jahaan majburiyaan hon sair kar us baagh ki jaa kar tujhe maalum ho jaaegaa hasrat kaisi hoti hai ghalat hai zaahidon ko naaz apni khushk taaat par ye puchh un ke gunahgaaron se rahmat kaisi hoti hai hue laakhon bapaa mahshar azal se aaj tak dil mein are vaaiz tu kyaa jaane qayaamat kaisi hoti hai unhein ham jaan-o-dil de kar rahe taklif mein daaim na jaane aish kyaa hai aur raahat kaisi hoti hai shikaayat hijr ki karne hi ko the josh-e-ulfat mein dil-e-betaab chillaayaa ki furqat kaisi hoti hai koi hai mubtalaa-e-gham koi masruf-e-ishrat hai magar ye koi kyaa samjhe mashiyyat kaisi hoti hai tiri manshaa se hain bimaar darmaan-o-davaa se kyaa hamein ab tak nahin maalum sehat kaisi hoti hai chaman mein gul hazaaron hain magar jaane se huun qaasir are tauba ye kyon kah duun ki hasrat kaisi hoti hai 'umar' jo diid ke taalib hain vo aaein to mahshar mein sar-e-mahfil ye dekheinge ki azmat kaisi hoti hai"
Mohammad UmarMohammad Umar
Quote
"muraqqaa pahle apnaa aaina-khaane mein rakh denaa yahi aaina-khaana dil ke kaashaane mein rakh denaa pas-e-murdan hamaari laash mai-khaane mein rakh denaa kisi ko uzr ho is mein to viraane mein rakh denaa sharaab-e-kaif-o-masti dil ke paimaane mein rakh denaa ye paimaana murattab ho to maikhaane mein rakh denaa butaan-e-maah-vash is ghar ki aksar sair karte hain miraa dil aur jigar bhi jaa ke but-khaane mein rakh denaa isi surat tumhaari bazm mein mil jaaegaa rasta miraa armaan-e-dil bhi apne parvaane mein rakh denaa rahegaa kaif yuun baaqi rahegaa hosh yuun saaqi ki meraa qalb-e-muztar apne maikhaane mein rakh denaa tumhein dekhun tumhaari har adaa-e-husn ko dekhun surur apnaa miri aankhon ke paimaane mein rakh denaa namaaz-e-ishq paDhni hai buton ke paanv par jaa kar jo saamaan-e-vuzu hai vo sanam khaane mein rakh denaa fanaa ke baad kaisaa imtiyaaz-e-baagh-o-viraana hamein basti mein rakh denaa ki viraane mein rakh denaa khushaa-qismat sunein vo aur qissa-khvaan se main kah duun ki ik TukDaa gham-e-furqat kaa afsaane mein rakh denaa ye mai-khaana khudaa-khaana sanam-khaana usi kaa hai nahin parvaa 'umar' mujh ko kisi khaane mein rakh denaa"
Mohammad UmarMohammad Umar
Quote
"tere majnun ko aabaadi se viraane se kyaa matlab tire jalvon se matlab aaina-khaane se kyaa matlab ilaahi ishq ke bandon ko tarsaane se kyaa matlab hayaat-e-jaavidaan bakhshi to mar jaane se kyaa matlab tiri ulfat ke behoshon ko hosh aane se kyaa matlab tire didaar ke maston ko maikhaane se kyaa matlab jab aae zabh karne phir taras khaane se kyaa matlab gale par jab rakhaa khanjar to ruk jaane se kyaa matlab paDaa rahne do be-gor-o-kafan qaatil ke kuche mein shahidon ki hain laashein un ko dafnaane se kyaa matlab khushi se de diyaa jab dil to phir is kaa hai kyaa shikva magar ye puchhtaa huun dil churaa laane se kyaa matlab taDapte rahte hain din-raat zikr-o-fikr-e-ulfat mein tiri khvaahish mein divaanon ko so jaane se kyaa matlab maraz baDhtaa hai furqat mein ilaaj-o-fikr-e-darmaan se jo bimaar-e-mohabbat hain davaa khaane se kyaa matlab zamaana jaantaa hai ishq mein jo kuchh musibat hai phir ifshaa raaz kar ke dam nikal jaane se kyaa matlab uruj-e-baa-kamaali hai zavaal-e-be-kamaali hai shahid-e-naaz ki mayyat ko dafnaane se kyaa matlab jahaan bhi tu nazar aaya vahin sajda kiyaa fauran tire taalib ko kaabe aur but-khaane se kyaa matlab tire jalve nazar aate hain jab duniyaa-e-faani mein tire shaidaa ko duniyaa chhoD ke jaane se kyaa matlab 'umar' har-vaqt un se vasl rahtaa hai khayaalon mein unhein aane se kyaa matlab hamein jaane se kyaa matlab"
Mohammad UmarMohammad Umar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari