"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
apnaa har ik usuul mujhe haarnaa paDaa — Moheet Ismaeel
"apnaa har ik usuul mujhe haarnaa paDaa thi jiit hi fuzul mujhe haarnaa paDaa tadbir meri ek na maani bahaar ne patjhaD ke aage phuul mujhe haarnaa paDaa eazaaz e'timaad hai us kaa diyaa huaa garche na thaa qubul mujhe haarnaa paDaa us ki khushi thi baais-e-fath-e-hayaat-e-nau jab vo huaa malul mujhe haarnaa paDaa jab tak havaa thi saaf thaa maidaan haath mein aankhon mein aai dhuul mujhe haarnaa paDaa mere bhi kyaa nasib ki vaqt-e-duaa 'muhit' sheron kaa thaa nuzul mujhe haarnaa paDaa"
اپنا ہر اک اصول مجھے ہارنا پڑا تھی جیت ہی فضول مجھے ہارنا پڑا تدبیر میری ایک نہ مانی بہار نے پت جھڑ کے آگے پھول مجھے ہارنا پڑا اعزاز اعتماد ہے اس کا دیا ہوا گرچہ نہ تھا قبول مجھے ہارنا پڑا اس کی خوشی تھی باعث فتح حیات نو جب وہ ہوا ملول مجھے ہارنا پڑا جب تک ہوا تھی صاف تھا میدان ہاتھ میں آنکھوں میں آئی دھول مجھے ہارنا پڑا میرے بھی کیا نصیب کہ وقت دعا محیطؔ شعروں کا تھا نزول مجھے ہارنا پڑا
अपना हर इक उसूल मुझे हारना पड़ा थी जीत ही फ़ुज़ूल मुझे हारना पड़ा तदबीर मेरी एक न मानी बहार ने पतझड़ के आगे फूल मुझे हारना पड़ा एज़ाज़ ए'तिमाद है उस का दिया हुआ गरचे न था क़ुबूल मुझे हारना पड़ा उस की ख़ुशी थी बाइस-ए-फ़त्ह-ए-हयात-ए-नौ जब वो हुआ मलूल मुझे हारना पड़ा जब तक हवा थी साफ़ था मैदान हाथ में आँखों में आई धूल मुझे हारना पड़ा मेरे भी क्या नसीब कि वक़्त-ए-दुआ 'मुहीत' शेरों का था नुज़ूल मुझे हारना पड़ा
More on Maa
View all →"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"