"baraae-naam sahi saaebaan nahin miltaa khulus tujh saa kahin mujh ko maan nahin miltaa pasand hain mujhe ab tak nasihatein us ki ki baap jaisaa koi mehrbaan nahin miltaa ta'ajjub un ko hai kyon meri khud-kalaami par ki mujh ko apne sivaa raaz-daan nahin miltaa paron mein quvvat-e-parvaaz hi na ho jis ke vo laakh chaahe use aasmaan nahin miltaa nigaahein DhunDhti rahti hain us ke lahje ko ghafur jaisaa koi khush-bayaan nahin miltaa tamaam ‘aalam-e-islaam muntazir hai 'atiq' ho jis ke siine mein 'azm-e-javaan nahin miltaa"
apne ghar se us ke ghar kaa faasla thaa mukhtasar — Khan Ateeq Afridi
"apne ghar se us ke ghar kaa faasla thaa mukhtasar zindagi darkaar thi go raasta thaa mukhtasar zindagi kaa zindagi se raabta thaa mukhtasar us ne dekhaa main ne dekhaa vaaqi'a thaa mukhtasar aap bhi apne kiye par kuchh pashemaan se lage main bhi ye sochaa kiyaa ik haadisa thaa mukhtasar aisi raatein aaj bhi aankhon mein kaTti hain miri zindagi kaa jin se shaayad vaasta thaa mukhtasar mere maazi kaa ta'alluq mere mustaqbil ke saath ik haqiqat thi magar ik faasla thaa mukhtasar ik haqiqat thaa magar huun aaj be-taa’bir khvaab ab kahaani huun kabhi ik vaaqi'a thaa mukhtasar aaj un aankhon ne mere dil mein phir jhaankaa 'atiq' aaj un aankhon mein phir ik hausla thaa mukhtasar"
اپنے گھر سے اس کے گھر کا فاصلہ تھا مختصر زندگی درکار تھی گو راستہ تھا مختصر زندگی کا زندگی سے رابطہ تھا مختصر اس نے دیکھا میں نے دیکھا واقعہ تھا مختصر آپ بھی اپنے کیے پر کچھ پشیماں سے لگے میں بھی یہ سوچا کیا اک حادثہ تھا مختصر ایسی راتیں آج بھی آنکھوں میں کٹتی ہیں مری زندگی کا جن سے شاید واسطہ تھا مختصر میرے ماضی کا تعلق میرے مستقبل کے ساتھ اک حقیقت تھی مگر اک فاصلہ تھا مختصر اک حقیقت تھا مگر ہوں آج بے تعبیر خواب اب کہانی ہوں کبھی اک واقعہ تھا مختصر آج ان آنکھوں نے میرے دل میں پھر جھانکا عتیقؔ آج ان آنکھوں میں پھر اک حوصلہ تھا مختصر
अपने घर से उस के घर का फ़ासला था मुख़्तसर ज़िंदगी दरकार थी गो रास्ता था मुख़्तसर ज़िंदगी का ज़िंदगी से राब्ता था मुख़्तसर उस ने देखा मैं ने देखा वाक़ि'आ था मुख़्तसर आप भी अपने किए पर कुछ पशेमाँ से लगे मैं भी ये सोचा किया इक हादिसा था मुख़्तसर ऐसी रातें आज भी आँखों में कटती हैं मिरी ज़िंदगी का जिन से शायद वास्ता था मुख़्तसर मेरे माज़ी का त'अल्लुक़ मेरे मुस्तक़बिल के साथ इक हक़ीक़त थी मगर इक फ़ासला था मुख़्तसर इक हक़ीक़त था मगर हूँ आज बे-ता’बीर ख़्वाब अब कहानी हूँ कभी इक वाक़ि'आ था मुख़्तसर आज उन आँखों ने मेरे दिल में फिर झाँका 'अतीक़' आज उन आँखों में फिर इक हौसला था मुख़्तसर

More by Khan Ateeq Afridi
View all →"ghar mein rahun to apni hi tanhaaiyaan Dasein niklun jo shahr mein to shanaasaaiyaan Dasein vo loch vo shabaab vo andaaz-e-dilkashi jaaun jab us ke paas to angDaaiyaan Dasein vo paas ho to subh-e-bahaaraan hai zindagi vo duur ho to mujh ko ye angnaaiyaan Dasein tark-e-ta'alluqaat kaa ehsaas jaag jaae aa aa ke yaad us ki jab achhaaiyaan Dasein gumnaam rah ke jin ki du'aaein thiin mere saath shohrat mili mujhe to vo parchhaaiyaan Dasein us se nazar mile to ubhar aae dil ki choT vo pher le nigaah to purvaaiyaan Dasein dil TuTne ke raaz se vaaqif nahin koi phir bhi qabile vaalon ki daanaaiyaan Dasein kuchh log be-hisi ke samundar mein gharq hain mujh ko shu'ur-o-fikr ki gahraaiyaan Dasein jab apnaa khuun bhi na ho apnaa to phir 'atiq' mujh ko mire khulus ki rusvaaiyaan Dasein"
"maan mujhe apni du'aaon ke asar mein rakhnaa naam meraa sar-e-fihrist-e-hunar mein rakhnaa maanaa dushvaar salibon kaa safar hotaa hai phir bhi tum khud ko salibon ke safar mein rakhnaa chaahte ho jo numaaish na ho daagh-e-dil ki siikh lo ghar ki har ik baat ko ghar mein rakhnaa dushmani jaal bichhaae hue baiThi hai yahaan kitnaa dushvaar hai chehron ko nazar mein rakhnaa jab bhi saae ki zarurat kaa ho ehsaas tumhein apni aankhon ko faqat sabz shajar mein rakhnaa sar-bulandi kaa agar shauq hai dil mein yaaro kuchh na kuchh taaqat-e-parvaaz bhi par mein rakhnaa shaa'iri ke liye ab ye bhi zaruri hai 'atiq' qaum kaa dard bhi tum apne jigar mein rakhnaa"
"ye shohraton ke safar bhi 'ajib hote hain ki gham-gusaar-e-mohabbat raqib hote hain jo kaahili mein qanaa'at nasib hote hain vahi zamaane mein dukh ke naqib hote hain talaash-e-dard ho jin ko sukun-e-dil ke liye vo ahl-e-gham bhi 'ajib-o-gharib hote hain jo dil mein jazba-e-ikhlaas hi nahin rakhte na jaane kyon vahi mere habib hote hain hamesha sach ki taraazu mein khud ko jo tolein kisi bhi vaqt vo nazr-e-salib hote hain jo vaaldain ki khidmat se mustafiz na hon vo bachche kitne baDe kam-nasib hote hain kuchh aise log bhi hote hain zindagi mein 'atiq' jo duur hote hue bhi qarib hote hain"
"kab samundar huun kahaan dariyaa huun main apne hi kirdaar mein Duubaa huun main meri fitrat hai sadaaqat ki amiin sach ko sach kahne se kab jhijkaa huun main raat din kyon ho ta'aaqub mein mire chhu na paaoge bahut unchaa huun main jis kahaani kaa main ik kirdaar thaa vo kahaani ab samajh paayaa huun main saari duniyaa ik taraf main ik taraf lo kharido kis qadar sastaa huun main aaj bhi insaaniyat ke naam par mil ke ik insaan se royaa huun main toDnaa yuun mujh ko mushkil hai 'atiq' sach ki unchi shaakh pe phaltaa huun main"
"apne mohsin se daghaa karnaa bataayaa bhi nahin ye hunar mujh ko buzurgon ne sikhaayaa bhi nahin muddaton baa'd milaa thaa vo magar haal miraa us ne puchhaa bhi nahin main ne bataayaa bhi nahin koi behis kabhi tauqir ke qaabil jo huaa aise kam-zarf se munh main ne lagaayaa bhi nahin vaqt ne mujh ko ye mohlat hi na di khvaab bunun aur aankhon ne koi khvaab dikhaayaa bhi nahin ghar paDosi kaa jale aur na ho dukh mujh ko jhol aisaa mire kirdaar mein aaya bhi nahin yuun to qismat ke navishte mein bulandi thi magar main ne sar apnaa kisi dar pe jhukaayaa bhi nahin shohratein mere ta'aaqub mein rahin laakh 'atiq' aaj tak main ne unhein khud se milaayaa bhi nahin"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"