SHAWORDS

apne hone pe pyaar aataa hai — Sarvat Husain

HomeSarvat HusainGhazal
"apne hone pe pyaar aataa hai aur be-ikhtiyaar aataa hai ai ghazaal-e-khutan tiri jaanib koi divaana-vaar aataa hai ek taaus ne kahaa mujh se mausam-e-sad-bahaar aataa hai dida-o-dil mein kar rakho mahfuz ye samaan ek baar aataa hai main kisi kaa nahin usi kaa huun kab use e'tibaar aataa hai"
Urdu

اپنے ہونے پے پیار آتا ہے اور بے اختیار آتا ہے اے غرال ختن تری جانب کوئی دیوانہ وار آتا ہے ایک طاؤس نے کہا مجھ سے موسم صد بہار آتا ہے دیدہ و دل میں کر رکھو محفوظ یہ سماں ایک بار آتا ہے میں کسی کا نہیں اسی کا ہوں کب اسے اعتبار آتا ہے

Hindi

अपने होने पे प्यार आता है और बे-इख़्तियार आता है ऐ ग़ज़ाल-ए-ख़ुतन तिरी जानिब कोई दीवाना-वार आता है एक ताऊस ने कहा मुझ से मौसम-ए-सद-बहार आता है दीदा-ओ-दिल में कर रखो महफ़ूज़ ये समाँ एक बार आता है मैं किसी का नहीं उसी का हूँ कब उसे ए'तिबार आता है

apne hone pe pyaar aatā hai
Sarvat Husain
Sarvat Husain
Sarvat Husain
poet109 quotes

More by Sarvat Husain

View all →
Quote
"koyal kuuku karti hai aur patte rang badalte hain aise mausam mein shahzaade uTh kar niind mein chalte hain aadhe sayyaare par paani baras gayaa naghmaat liye aadhe sayyaare ke manzar ab bhi aag mein jalte hain ye miTTi ke kore maTke in mein paani rakkhaa hai ye phulon ke gahvaare hain in mein bachche palte hain baagh bhi chup favvaara bhi chup kaisaa 'ajab sannaaTaa hai khinche jo aazaar dilon ne kab naghmaat mein Dhalte hain tausan-e-she'r hamaare haq mein takht-e-sulaimaan hai 'sarvat' jinn-o-malaaik paayaa thaame aage aage chalte hain"
Sarvat HusainSarvat Husain

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari