Quote
"pahnaae-bar-o-bahr ke mahshar se nikal kar dekhun kabhi maujud o mayassar se nikal kar aae koi tufaan guzar jaae koi sail ik shola-e-be-taab huun patthar se nikal kar aankhon mein damak uTThi hai tasvir-e-dar-o-baam ye kaun gayaa mere baraabar se nikal kar taa-der rahaa zaaiqa-e-marg labon par ik niind ke TuuTe hue manzar se nikal kar har rang mein isbaat-e-safar chaahiye 'sarvat' miTTi pe dharo paanv samundar se nikal kar"
