SHAWORDS

ashk in aankhon se ham dil mein bahaa kar dekhein — Ateeq Anzar

HomeAteeq AnzarGhazal
"ashk in aankhon se ham dil mein bahaa kar dekhein aaj sailaab ko siine mein chhupaa kar dekhein ek baar aur zaraa dil se mire khel karein ek baar aur miri aankhon mein aa kar dekhein aap ke dil mein utar jaaungaa dhaDkan ban kar mere haathon se kabhi haath milaa kar dekhein kyaa khabar aae vo jab tez hon zakhmon ke diye un charaaghon ki lavein aur baDhaa kar dekhein baarish-e-gham mein hansi bhigi hui hai meri shak agar ho to use haath lagaa kar dekhein ham jise chaahte hain duur se dekhaa hai use ji bahut chaahtaa hai paas bulaa kar dekhein"
Urdu

اشک ان آنکھوں سے ہم دل میں بہا کر دیکھیں آج سیلاب کو سینے میں چھپا کر دیکھیں ایک بار اور ذرا دل سے مرے کھیل کریں ایک بار اور مری آنکھوں میں آ کر دیکھیں آپ کے دل میں اتر جاؤں گا دھڑکن بن کر میرے ہاتھوں سے کبھی ہاتھ ملا کر دیکھیں کیا خبر آئے وہ جب تیز ہوں زخموں کے دیے ان چراغوں کی لویں اور بڑھا کر دیکھیں بارش غم میں ہنسی بھیگی ہوئی ہے میری شک اگر ہو تو اسے ہاتھ لگا کر دیکھیں ہم جسے چاہتے ہیں دور سے دیکھا ہے اسے جی بہت چاہتا ہے پاس بلا کر دیکھیں

Hindi

अश्क इन आँखों से हम दिल में बहा कर देखें आज सैलाब को सीने में छुपा कर देखें एक बार और ज़रा दिल से मिरे खेल करें एक बार और मिरी आँखों में आ कर देखें आप के दिल में उतर जाऊँगा धड़कन बन कर मेरे हाथों से कभी हाथ मिला कर देखें क्या ख़बर आए वो जब तेज़ हों ज़ख़्मों के दिए उन चराग़ों की लवें और बढ़ा कर देखें बारिश-ए-ग़म में हँसी भीगी हुई है मेरी शक अगर हो तो उसे हाथ लगा कर देखें हम जिसे चाहते हैं दूर से देखा है उसे जी बहुत चाहता है पास बुला कर देखें

ashk in āñkhoñ se ham dil meñ bahā kar dekheñ
Ateeq Anzar
Ateeq Anzar
Ateeq Anzar
poet30 quotes

More by Ateeq Anzar

View all →
Quote
"mire dil mein khushbu basi thi jo vo makaan apnaa badal gai kisi aur abr ki chhaanv mein baDi duur mujh se nikal gai vo jo barf abhi thi jami hui kisi maslahat ke hisaar mein zaraa vaqt ki jo havaa lagi to vo ek pal mein pighal gai mire ghar ki unchi munDer pe vo jo kaali billi thi ghumti vahi aa ke chupke se raat mein miri faakhta ko nigal gai baDi tangiyon mein pali hui vo ghazal dukhon mein baDi hui tujhe lutf-e-aish na de saki to vo teri raah mein jal gai use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju magar us ke aariz-e-naaz pe miri har nigaah phisal gai"
Ateeq AnzarAteeq Anzar
Quote
"vo ghazal ki kitaab hai pyaare us ko paDhnaa savaab hai pyaare vo kabhi narm chaandni si lage aur kabhi aaftaab hai pyaare umr kachchi hai ishq kyaa jaane khaamushi bhi javaab hai pyaare apne haathon pilaae khushbu tu saada paani sharaab hai pyaare us ko paDhnaa to chuum kar paDhnaa vo khudaa ki kitaab hai pyaare us ko dekho libaas mat dekho vo pahaaDi gulaab hai pyaare hans ke jiine kaa tum hunar sikho zindagi laa-javaab hai pyaare vo jo aataa hai shab Dhale 'anzar' teraa sachchaa vo khvaab hai pyaare"
Ateeq AnzarAteeq Anzar
Quote
"baad muddat mile kuchh kahaa na sunaa bhar gae zakhm purvaaiyaan so gaiin kanghi karti hui reshmi zulf mein meri betaab si ungliyaan so gaiin aaj alhaD pujaaran vo aai nahin dil ke mandir mein ghanTi bajaai nahin aas ke sab diye TimTimaane lage mere jazbaat ki ghanTiyaan so gaiin ab fazaaon mein khushbu mahakti nahin ab vo paagal havaaein thirakti nahin ek to kar gai kyaa akelaa mujhe lahlahaati hui vaadiyaan so gaiin us ke haathon mein chuDi khanakti nahin us ke pairon mein paael jhanakti nahin chhoD di main ne jab se gali pyaar ki us ke kaanon ki bhi baaliyaan so gaiin ik nadi ke kinaare base gaanv mein guzraa bachpan miraa chaand ki chhaanv mein ham baDe jab hue ajnabi ho gae dil ke mandir ki sab deviyaan so gaiin ghaaT dil kaa mire aaj sunsaan hai koi gopi nahaane ab aati nahin meri murli ki dhun ab larazne lagi mere madhuban ki sab gopiyaan so gaiin aam ke peD shaadaab hain aaj bhi baurte aur phalte bhi hain vo magar ab vo jhule kahaan ab vo kajri kahaan vo lachakti hui Daaliyaan so gaiin"
Ateeq AnzarAteeq Anzar
Quote
"dil ke aangan mein tiri yaad kaa taaraa chamkaa meri be-nur si aankhon mein ujaalaa chamkaa shaam ke saath ye dil Duub rahaa thaa lekin yak-ba-yak jhiil ke us paar kinaaraa chamkaa har gali shahr ki phulon se saji mere liye har dariche mein koi chaand saa chehra chamkaa gham ke parde mein khushi bhi to chhipi hoti hai khush huaa main jo mire paanv mein chhaalaa chamkaa kitne taaron ne lahu nazr kiyaa hai apnaa tab kahin raat ke siine se saveraa chamkaa us imaarat ki chamak yuun rahi do-pal 'anzar' dhuup mein jaise koi barf kaa TukDaa chamkaa"
Ateeq AnzarAteeq Anzar
Quote
"guzishta raat koi chaand ghar mein utraa thaa vo ek khvaab thaa yaa bas nazar kaa dhokaa thaa sitaare os mire saath subh tak roe magar vo shakhs to patthar kaa jaise turshaa thaa bichhaDte vaqt anaa darmiyaan thi varna manaanaa donon ne ik dusre ko chaahaa thaa qarib aa ke bhi khvaabon ki kho gaiin kirnein ki mujh se aage miraa bad-nasib saaya thaa gila nahin hai jo us ne mujhe na pahchaanaa lahu-luhaan miri zindagi kaa chehra thaa nigal sakaa na shab-e-gham kaa azhdahaa mujh ko ufuq pe vaqt-e-sahar aaftaab ubhraa thaa hasin chaand ke chehre pe paD gae dhabbe ki mere dil ke andhere se ye bhi guzraa thaa"
Ateeq AnzarAteeq Anzar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil