"na apne apnon ke jaise na ghair hi ki tarah ham apne ghar mein bhi jiite hain ajnabi ki tarah phir aaj dil pe vahi iztiraab taari hai ai bu-e-yaar chali aa kabhi kabhi ki tarah na koi dard hai siine mein dard ke jaisaa na koi khvaab hai aankhon mein khvaab hi ki tarah misaal-e-sham' jalaae gae bujhaae gae hai zindagi bhi kahaan apni zindagi ki tarah na duniyaa-daari nibhaa paae duniyaa-daaron si na bandagi hi kare 'nur' bandagi ki tarah"
badan ke saath hi aashob-e-jaan uThaae hue — Farooq Noor
"badan ke saath hi aashob-e-jaan uThaae hue chalo kuchh aur ye baar-e-garaan uThaae hue hamaare jaise to do chaar das hi honge yahaan zamin pe phirte hain jo aasmaan uThaae hue baDhaa di maut ne kuchh aur bhi miri takrim hain haathon haath mujhe mehrbaan uThaae hue hasin ban ke guzaari hai zindagi main ne tamaam yaar rahe barchhiyaan uThaae hue 'ajib khvaab ye dekhaa guzishta shab main ne khaDe hain log mujhe darmiyaan uThaae hue main us ke saamne kab tak rahungaa sina-sipar vo mujh ko dekh rahaa hai kamaan uThaae hue tamaam sahraa hi gulshan dikhaai detaa hai hai tere pairon ke jab se nishaan uThaae hue tamaam raat ki rudaad kah rahi hai 'nur' ye bujhti sham' labon par dhuaan uThaae hue"
بدن کے ساتھ ہی آشوب جاں اٹھائے ہوئے چلو کچھ اور یہ بار گراں اٹھائے ہوئے ہمارے جیسے تو دو چار دس ہی ہوں گے یہاں زمیں پہ پھرتے ہیں جو آسماں اٹھائے ہوئے بڑھا دی موت نے کچھ اور بھی مری تکریم ہیں ہاتھوں ہاتھ مجھے مہرباں اٹھائے ہوئے حسین بن کے گزاری ہے زندگی میں نے تمام یار رہے برچھیاں اٹھائے ہوئے عجیب خواب یہ دیکھا گزشتہ شب میں نے کھڑے ہیں لوگ مجھے درمیاں اٹھائے ہوئے میں اس کے سامنے کب تک رہوں گا سینہ سپر وہ مجھ کو دیکھ رہا ہے کماں اٹھائے ہوئے تمام صحرا ہی گلشن دکھائی دیتا ہے ہے تیرے پیروں کے جب سے نشاں اٹھائے ہوئے تمام رات کی روداد کہہ رہی ہے نورؔ یہ بجھتی شمع لبوں پر دھواں اٹھائے ہوئے
बदन के साथ ही आशोब-ए-जाँ उठाए हुए चलो कुछ और ये बार-ए-गराँ उठाए हुए हमारे जैसे तो दो चार दस ही होंगे यहाँ ज़मीं पे फिरते हैं जो आसमाँ उठाए हुए बढ़ा दी मौत ने कुछ और भी मिरी तकरीम हैं हाथों हाथ मुझे मेहरबाँ उठाए हुए हसीन बन के गुज़ारी है ज़िंदगी मैं ने तमाम यार रहे बर्छियाँ उठाए हुए 'अजीब ख़्वाब ये देखा गुज़िश्ता शब मैं ने खड़े हैं लोग मुझे दरमियाँ उठाए हुए मैं उस के सामने कब तक रहूँगा सीना-सिपर वो मुझ को देख रहा है कमाँ उठाए हुए तमाम सहरा ही गुलशन दिखाई देता है है तेरे पैरों के जब से निशाँ उठाए हुए तमाम रात की रूदाद कह रही है 'नूर' ये बुझती शम' लबों पर धुआँ उठाए हुए

More by Farooq Noor
View all →"raunaq-e-dil the jo aankhon mein samaae hue log ho gae khvaab sabhi khvaab dikhaae hue log dil ki daulat ko zamaane pe luTaae hue log der se pahunche hain ham duur se aae hue log jaise yak-lakht kisi haath se moti chhuTe is tarah kharch hue saare kamaae hue log tu ne jis ko bhi chhuaa paara-sifat kar Daalaa haath aae na tire haath lagaae hue log chaand se chamke hue mahke hue phulon se kaise honge vo tire qurb ko paae hue log mujh ko samjhaate hain aadaab-e-nashist-o-barkhaast mere samjhaae hue mere sikhaae hue log kisi mazlum ki taklif bhalaa kyaa jaanein chalti phirti hui laashon mein samaae hue log yak-ba-yak phail gai 'nur' fazaa mein vahshat chalte chalte mire atraaf se saae hue log"
"tumhaari muntazir raahon ke manzar dekh sakte the agar aate to in aankhon ko patthar dekh sakte the taraqqi ne diyaa hai kuchh bahut kuchh ham se chhinaa hai ki pahle har javaan chhat par kabutar dekh sakte the vo aisi aarzu thaa jo mukammal jism rakhtaa thaa vo aisaa khvaab thaa ki jis ko chhu kar dekh sakte the sunaa hai vo daricha ab musalsal band rahtaa hai jahaan ham khvaahishon ko baar-aavar dekh sakte the parinde kaise paDhte hain qaside shaan-e-vahdat mein sahar ke vaqt aa jaate to manzar dekh sakte the ilaahi kyaa hue pand-o-nasihat karne vaale log ki jo mujh ko yahaan mujh se bhi behtar dekh sakte the chalo ghar se to baunon ke sivaa miltaa nahin koi kahaan hain vo jinhein qad ke baraabar dekh sakte the"
"vahshat nahin hoti koi saudaa nahin hotaa ai kaash ki main ne tujhe dekhaa nahin hotaa hone ko to is duniyaa mein kyaa kyaa nahin hotaa ik tu hi kisi taur hamaaraa nahin hotaa kyaa baat hai kaafur nahin hoti siyaahi kyon sham' nahin jalti ujaalaa nahin hotaa ye dard hai kyaa dard ki thamtaa hi nahin hai ye zakhm hai kyaa zakhm ki achchhaa nahin hotaa ye raat hai kyaa raat ki kaTti hi nahin hai kyaa baat hai kyon nuur kaa taDkaa nahin hotaa rakhte ho sab andaaz ravaa dushmani vaale ye kyaa hai mohabbat mein to aisaa nahin hotaa do pal jo Thahar jaao to baDh jaataa hai aage ye vaqt hai aur vaqt kisi kaa nahin hotaa hote hain mire saath mire saare masaail main ho ke akelaa bhi akelaa nahin hotaa 'nur' aaj ke kaamon ko uThaa rakkho na kal par kyaa kal kaa bharosa hai ki hotaa nahin hotaa"
"kal shab vo shokh-chashm khulaa sar se paanv tak aisaa ki be-libaas rahaa sar se paanv tak aankhein khamosh sunti rahin jism ke sukhan vo kyon hi ham-kalaam huaa sar se paanv tak kahti hai us ko dekhne vaali har ik nazar vo aaj bhi hai naaz-o-adaa sar se paanv tak mere sukhan ke aage ye saare sukhanvaraan dekhe gae be-saut-o-sadaa sar se paanv tak us ne nazar nazar hi mein aise sukhan kahe main us ko dekhtaa hi rahaa sar se paanv tak"
"tire baghair huun zinda magar ye haalat hai ye aati jaati hui saans bhi aziyyat hai main zindagaani ke ab aakhiri paDaav pe huun kahaan ho tum ki tumhaari mujhe zarurat hai tire baghair bhi ik raat ji ke dekh liyaa tire baghair bhi ye raat khub-surat hai badan ke saare taqaaze to ho gae puure magar abhi bhi tumhaari mujhe zarurat hai tire baghair to mumkin na thaa miraa jiinaa tire baghair bhi zinda huun mujh ko hairat hai usi ki yaad hai ab 'nur' mashghala apnaa vo ek shakhs jise bhulne ki 'aadat hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"