SHAWORDS

baiThaa nahin huun saaya-e-divaar dekh kar — Bismil Saeedi

HomeBismil SaeediGhazal
"baiThaa nahin huun saaya-e-divaar dekh kar Thahraa huaa huun vaqt ki raftaar dekh kar ham-mashrabi ki sharm gavaaraa na ho saki khud chhoD di hai shaikh ko mai-khvaar dekh kar kyaa jaane bahr-e-ishq mein kitne hue hain gharq saahil se sath-e-aab ko hamvaar dekh kar hain aaj tak nigaah mein haalaanki aaj tak dekhaa na phir kabhi unhein ik baar dekh kar 'bismil' tum aaj rote ho anjaam-e-ishq ko ham kal samajh gae the kuchh aasaar dekh kar"
Urdu

بیٹھا نہیں ہوں سایۂ دیوار دیکھ کر ٹھہرا ہوا ہوں وقت کی رفتار دیکھ کر ہم مشربی کی شرم گوارا نہ ہو سکی خود چھوڑ دی ہے شیخ کو مے خوار دیکھ کر کیا جانے بحر عشق میں کتنے ہوئے ہیں غرق ساحل سے سطح آب کو ہموار دیکھ کر ہیں آج تک نگاہ میں حالانکہ آج تک دیکھا نہ پھر کبھی انہیں اک بار دیکھ کر بسملؔ تم آج روتے ہو انجام عشق کو ہم کل سمجھ گئے تھے کچھ آثار دیکھ کر

Hindi

बैठा नहीं हूँ साया-ए-दीवार देख कर ठहरा हुआ हूँ वक़्त की रफ़्तार देख कर हम-मशरबी की शर्म गवारा न हो सकी ख़ुद छोड़ दी है शैख़ को मय-ख़्वार देख कर क्या जाने बहर-ए-इश्क़ में कितने हुए हैं ग़र्क़ साहिल से सत्ह-ए-आब को हमवार देख कर हैं आज तक निगाह में हालाँकि आज तक देखा न फिर कभी उन्हें इक बार देख कर 'बिस्मिल' तुम आज रोते हो अंजाम-ए-इश्क़ को हम कल समझ गए थे कुछ आसार देख कर

baiThā nahīñ huuñ sāya-e-dīvār dekh kar
Bismil Saeedi
Bismil Saeedi
Bismil Saeedi
poet68 quotes

More by Bismil Saeedi

View all →
Quote
"vahi hoti hai rahbar jo tamannaa dil mein hoti hai ba-qadr-e-himmat-e-rah-rau kashish manzil mein hoti hai mohabbat dil mein hoti hai tamannaa dil mein hoti hai javaani umr ki kitni hasin manzil mein hoti hai mohabbat ai maaaz-allaah mohabbat dam nikal jaae agar mahsus bhi utni ho jitni dil mein hoti hai Thaharne bhi nahin deti hai us mahfil mein betaabi magar taskin bhi jaa kar usi mahfil mein hoti hai miraa kyaa saath deinge ghair bahr-e-ishq mein 'bismil' vo us kashti mein hain jo daaman-e-saahil mein hoti hai"
Bismil SaeediBismil Saeedi
Quote
"iltijaaein karne vaale ko duaa se kyaa gharaz jis ko ho tujh se gharaz us ko khudaa se kyaa gharaz pi rahaa hai muskuraa kar jaam-e-sehat maut kaa tere bimaar-e-mohabbat ko shifaa se kyaa gharaz ishq kashti apni khud khetaa hai apne zor par naa-khudaa se vaasta kyaa aur khudaa se kyaa gharaz main huun aur ab aastaan-e-ishq ki hain azmatein ab mire sajdon ko tere naqsh-e-paa se kyaa gharaz dil ko ab zauq-e-mohabbat ke maze aane lage tujh se ab teri jafaa se yaa vafaa se kyaa gharaz o nigaah-e-multafit be-faaeda hai iltifaat dard hi dil mein nahin hai ab davaa se kyaa gharaz ab ghaTaaein mai-kade par chhaain to main kyaa karun be-dili ko daavat-e-aab-o-havaa se kyaa gharaz ruuh ko baalidgi ho jis mein ab vo dil nahin ham-nashin mujh ko bahaar-e-jaan-fazaa se kyaa gharaz kis qadar khush rah ke mar jaate hain mazlumaan-e-ishq koi ye samjhe inhein roz-e-jazaa se kyaa gharaz qahr ko bhi jis ke ho ik darguzar se vaasta us ki rahmat ko mire jurm-o-khataa se kyaa gharaz ab dil-e-naakaam mein vo naala-o-naghma kahaan 'bismil' ik saaz-e-shikasta ko sadaa se kyaa gharaz"
Bismil SaeediBismil Saeedi
Quote
"rah-rav-e-raah-e-mohabbat kaun si manzil mein hai dil hai be-zaar-e-mohabbat aur mohabbat dil mein hai kyaa zabaan par hai kisi ki kyaa kisi ke dil mein hai jis ki mahfil hai vahi jaane vo jis mushkil mein hai kaarvaan-e-husn-o-ishq ab tak kahin Thahraa nahin qais abhi sahraa mein hai lailaa abhi mahmil mein hai ishrat-e-rafta kaa ronaa kyaa gham-e-imroz mein aish-e-fardaa bhi vo maazi hai jo mustaqbil mein hai rang-e-mahfil mein nazar aataa hai ik rang-e-digar teri mahfil ke sivaa bhi kuchh tiri mahfil mein hai ham-safar kuchh din rahe lekin khudaa jaane ki ab ishq hai kis marhale mein husn kis manzil mein hai manzil-e-maqsud 'bismil' vo nazar aane lagi har nazar manzil pe jaise har qadam manzil mein hai"
Bismil SaeediBismil Saeedi
Quote
"nigaah-e-naaz tiri jab se kaarsaaz nahin jigar mein dard nahin qalb mein gudaaz nahin nafas nahin koi aisaa ki jaan-gudaaz nahin ye meraa ishq hai zaahid tiri namaaz nahin jise farishton se qudrat chhupaa ke rakhti hai sharaab-khaane mein vo raaz koi raaz nahin havas ki zindagi-e-jaavedaan pe laanat hai balaa se umr-e-mohabbat agar daraaz nahin taalluqaat mohabbat ki jaan hoti hai vo ik nigaah ba-zaahir jo dil-navaaz nahin tiri jafaaon pe hai naaz jis qadar mujh ko mujhe vafaaon pe bhi apni itnaa naaz nahin agar kisi ki mohabbat mein koi raaz na ho to phir kisi ki mohabbat to koi raaz nahin nigah bhi jurm kabhi jurm-e-be-nigaahi bhi kisi usuul pe vo jalva-gaah-e-naaz nahin main be-niyaaz sahi tum se bhi mohabbat main magar tumhaari mohabbat se be-niyaaz nahin tum apne husn ki khaa kar qasam mukar jaao agar tumhaari mohabbat ko mujh pe naaz nahin kal un ke jalvon pe thaa meraa ikhtiyaar-e-nazar aur aaj apni nazar kaa bhi mein majaaz nahin nigaah-e-naaz ke allaah re ye ghalat andaaz koi ye samjhe abhi un ko mashq-e-naaz nahin sunaai deti hai mahsus jaan-o-dil ho kar vo ik sadaa jo hanuz aashnaa-e-saaz nahin tumhaari bazm ki ye dost-daariyaan tauba kisi se jaise kisi ko kuchh ehtiraaz nahin khulaa huaa hai vo baab-e-qubul-e-mai-khaana agar nahin dar-e-tauba balaa se baaz nahin tiri adaa-e-taghaaful ki jaan se zaalim vo ik adaa tiri jis par tujhe bhi naaz nahin ab apne jalvon kaa lillaah ehtiraam muaaf nigaah-e-shauq ko ab taab-e-imtiyaaz nahin dobaara kis se mili ishq ki nigaah-e-garm zamaana-soz hai 'bismil' zamaana-saaz nahin"
Bismil SaeediBismil Saeedi
Quote
"sharaab-e-ishq mein kyaa jaane kyaa taasir hoti hai kahin ye zahr hoti hai kahin iksir hoti hai na mafhum us kaa furqat hai na manshaa vasl hai us kaa mohabbat asl mein ik khvaab-e-khud-taabir hoti hai judaa ho kar isi mein jazb ho jaati hai phir ik din mohabbat aaftaab-e-husn ki tanvir hoti hai miraa zauq-e-nazar ho yaa tiraa faiz-e-tasavvur ho mire aaine mein aksar tiri tasvir hoti hai shikaayat bhi mohabbat hi mein daakhil hai magar 'bismil' mohabbat be-niyaaz-e-shikva-e-shikva-e-taqdir hoti hai"
Bismil SaeediBismil Saeedi

More on Ishq

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari